nur ka bosa
mire nadīm
maiñ hairān sochtī thī yahī
ki ye badaltī huī rut
ye sard sard havā
tumhārā saath na hotā to kaisī chaltī bhalā
nazar tilism-e-tamannā se jagmagātī huī
hamāre haath the ik dūsre ke hāthoñ meñ
bahut se va.ade
mohabbat ke saikḌoñ qisse
sunā rahe the ham ik dūsre ko chalte meñ
kahīñ kahīñ pe zamāna bhī raah meñ haa.il
hamārī ḳhalvat-ḳhāna meñ sar uThā.e hue
magar hameñ to bas ik dūsre se matlab thā
havā kī narm-ravī bhī to bojh lagtī thī
vo sub.h-e-nūr kā bosa tirī nigāhoñ se
bahut se ḳhvāb the bistar kī silvaToñ meñ chhupe
jinheñ batāne se ziyāda chhupānā paḌ gayā thā
ham apnī zaat ke ḳhalvat-kade meñ mahv-e-safar
thā sub.h-o-shām yahī kaam ho nazar pe nazar
phir aisā lamha bhī aayā
ki vaqt ke hāthoñ
click kiyā jo baTan
scrēn ġhā.eb thī
jale bujhe se sitāroñ ke tarah harf ubhre
na ab vo haath na va.ade na nuur ke bose
likhā thā itnā ki network munqata.a huā hai
mere nadim
main hairan sochti thi yahi
ki ye badalti hui rut
ye sard sard hawa
tumhaara sath na hota to kaisi chalti bhala
nazar tilism-e-tamanna se jagmagati hui
hamare hath the ek dusre ke hathon mein
bahut se wade
mohabbat ke saikDon qisse
suna rahe the hum ek dusre ko chalte mein
kahin kahin pe zamana bhi rah mein hail
hamari KHalwat-KHana mein sar uThae hue
magar hamein to bas ek dusre se matlab tha
hawa ki narm-rawi bhi to bojh lagti thi
wo subh-e-nur ka bosa teri nigahon se
bahut se KHwab the bistar ki silwaTon mein chhupe
jinhen batane se ziyaada chhupana paD gaya tha
hum apni zat ke KHalwat-kade mein mahw-e-safar
tha subh-o-sham yahi kaam ho nazar pe nazar
phir aisa lamha bhi aaya
ki waqt ke hathon
click kiya jo baTan
screen ghaeb thi
jale bujhe se sitaron ke tarah harf ubhre
na ab wo hath na wade na nur ke bose
likha tha itna ki network munqata hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.