october ishq ki hawa jaisa hai
habs-zada udāsī ruuh aur badan ko
jakaḌ chukī thī
june ke tapte shab-o-roz meñ
ek shaam havā kā jhoñkā aaya
khiḌkī kholne kī aadat na hone ke bāvajūd
dil chāhā is havā ko ḳhud pe guzārā jaa.e
ab vaqt karvaT le rahā hai
banjar hotī zamīn par
ik sabz rang kā milāp hai
sūraj apnī raushnī kī safedī ko utaar kar
sunahrī pahnāve meñ ubhar rahā hai
ġhāroñ se nikalte siyāh rang kā vajūd
mausam-e-bahārāñ kā raag alāpte
mahv-e-raqs hai
bārah mahīnoñ ke hāshiye mere sāmne haiñ
dasveñ mahīne kī ThanDī havā
aur us kī mohabbat ke iz.hār kī barastī phuvār ek jaisī hai
october ishq kī havā jaisā hai
habs-zada udasi ruh aur badan ko
jakaD chuki thi
june ke tapte shab-o-roz mein
ek sham hawa ka jhonka aaya
khiDki kholne ki aadat na hone ke bawajud
dil chaha is hawa ko KHud pe guzara jae
ab waqt karwaT le raha hai
banjar hoti zamin par
ek sabz rang ka milap hai
suraj apni raushni ki safedi ko utar kar
sunahri pahnawe mein ubhar raha hai
ghaaron se nikalte siyah rang ka wajud
mausam-e-bahaaran ka rag alapte
mahw-e-raqs hai
barah mahinon ke hashiye mere samne hain
daswen mahine ki ThanDi hawa
aur us ki mohabbat ke izhaar ki barasti phuwar ek jaisi hai
october ishq ki hawa jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.