os ki bunden ocean mein
ek kashmakash sī chaltī hai
lahroñ ke saath machaltī hai
kabhī sāhil se Takrātī haiñ
kabhī simaT sī jaatī haiñ
os kī būñdeñ ocean meñ
tūfānoñ meñ ġhurrātī haiñ
phir maujoñ sang gungunātī haiñ
aTkheliyāñ vo kartī haiñ
sāgar dhārā sang guzartī haiñ
os kī būñdeñ ocean meñ
kabhī high tide kabhī lo tide meñ
aksar yuuñ hī ful moon light meñ
āsmāñ kī jānib uchhaltī haiñ
girtī aur sañbhaltī haiñ
os kī būñdeñ ocean meñ
āftāb kahtā hai aa jā
fazā kahtī samā jā
sāgar kahtā hai na jā
zamīñ bhī jakḌe jaatī hai
aise hī lahrātī haiñ
bahtī chalī jaatī haiñ
os kī būñdeñ ocean meñ
ek kashmakash si chalti hai
lahron ke sath machalti hai
kabhi sahil se Takraati hain
kabhi simaT si jati hain
os ki bunden ocean mein
tufanon mein ghurraati hain
phir maujon sang gungunati hain
aTkheliyan wo karti hain
sagar dhaara sang guzarti hain
os ki bunden ocean mein
kabhi high tide kabhi lo tide mein
aksar yun hi ful moon light mein
aasman ki jaanib uchhalti hain
girti aur sanbhalti hain
os ki bunden ocean mein
aaftab kahta hai aa ja
faza kahti sama ja
sagar kahta hai na ja
zamin bhi jakDe jati hai
aise hi lahraati hain
bahti chali jati hain
os ki bunden ocean mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.