os
raat meñ jab saaf hotā hai hamārā āsmāñ
tab zamīñ kī sat.h ho jaatī hai ThanDī jān-e-jāñ
jab havā chhūtī hai is ThanDī havā ko shauq se
tab havā ThanDak se ho jaatī namī labrez hai
jaise hī us meñ harārat kī kamī aa jaatī hai
bhaap vo paanī kī chhoTī buuñd meñ Dhal jaatī hai
chhoTī chhoTī buuñd kī shakloñ meñ aa kar ghaas par
motiyoñ kī shakl meñ phir vo utar kar ghaas par
āsmāñ kī os in pattoñ ko chamkāne lagī
dūsre lafzoñ meñ in ko os nahlāne chalī
is se un paudoñ ko phir se tāzgī mil jaatī hai
aur murjhā.e guloñ ko zindagī mil jaatī hai
ThanDī ThanDī os par tafrīh hotī hai mufīd
aur sehat kī kuchh na kuchh phir jaag jaatī hai umiid
is liye bedār ho jaao savere sub.h ko
os par rozāna hī dauḌo savere sub.h ko
raat mein jab saf hota hai hamara aasman
tab zamin ki sath ho jati hai ThanDi jaan-e-jaan
jab hawa chhuti hai is ThanDi hawa ko shauq se
tab hawa ThanDak se ho jati nami labrez hai
jaise hi us mein hararat ki kami aa jati hai
bhap wo pani ki chhoTi bund mein Dhal jati hai
chhoTi chhoTi bund ki shaklon mein aa kar ghas par
motiyon ki shakl mein phir wo utar kar ghas par
aasman ki os in patton ko chamkane lagi
dusre lafzon mein in ko os nahlane chali
is se un paudon ko phir se tazgi mil jati hai
aur murjhae gulon ko zindagi mil jati hai
ThanDi ThanDi os par tafrih hoti hai mufid
aur sehat ki kuchh na kuchh phir jag jati hai umid
is liye bedar ho jao sawere subh ko
os par rozana hi dauDo sawere subh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.