tū jo humak kar merī god meñ chaḌh jaatī hai
rātoñ ko be-mauqa niiñd uḌā detī hai
terī ḳhātir
shorā ke bāzāroñ tak maiñ ho aatā huuñ
phir be-samjhī vaah vaah ke āvāze se ghāyal ho kar
aksar muāfī maañg chukā huuñ
ai dād-o-tahsīn kī ḳhvāhish
hīroñ kā to kaam hai āñkheñ ḳhīra karnā
par un hīroñ kī taḳhlīq meñ
aur pahchān ke darjoñ kī tarvīj meñ
lambā vaqfa hai
kaun ye jaane
ye kitnā lambā vaqfa hai
ai dād-o-tahsīn kī ḳhvāhish
fard jamā.at se gar duur nikal jaatā hai
to pāgal hī kahlātā hai
tu jo humak kar meri god mein chaDh jati hai
raaton ko be-mauqa nind uDa deti hai
teri KHatir
shora ke bazaron tak main ho aata hun
phir be-samjhi wah wah ke aawaze se ghayal ho kar
aksar muafi mang chuka hun
ai dad-o-tahsin ki KHwahish
hiron ka to kaam hai aankhen KHira karna
par un hiron ki taKHliq mein
aur pahchan ke darjon ki tarwij mein
lamba waqfa hai
kaun ye jaane
ye kitna lamba waqfa hai
ai dad-o-tahsin ki KHwahish
fard jamaat se gar dur nikal jata hai
to pagal hi kahlata hai
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 49)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.