panch parchhaiyan
aaj barā-e-fātiha shaam ko jo uThā.e haath
sūrateñ kuchh jhalak paḌīñ āñsūoñ kī taḌap ke saath
uf vo barādar-e-saġhīr sahn meñ kheltā huā
gard-o-ġhubār se tamām gorā badan aTā huā
haa.e rī bad-nasīb shaam ghar se vo jab ḳhafā huā
hichkiyāñ aa.iiñ dam ghuTā ḳhātma ziist kā huā
aaj barā-e-fātiha shaam ko jo uThā.e haath
sūrateñ kuchh jhalak paḌīñ āñsūoñ kī taḌap ke saath
ḳhushk vo chehra-e-pidar jism nahīf-o-nā-tavāñ
haath meñ ra.asha kā numūd zard jabīñ pe jhurriyāñ
nūr-e-taqaddus-o-jalāl rīsh-e-safed se ayaañ
ziist kī thartharāhaTeñ sham-e-sahar kī dāstāñ
aaj barā-e-fātiha shaam ko jo uThā.e haath
sūrateñ kuchh jhalak paḌīñ āñsūoñ kī taḌap ke saath
haa.e vo mādar-e-hazīñ aañkh ke dard se niDhāl
phir vahī dukh-bharī karāh kar ga.ī dil ko pā.emāl
vaqt se pahle kaT gayā zindagī kā sunahrā jaal
shaam se qabl ho gayā mehr-e-hayāt kā zavāl
aaj barā-e-fātiha shaam ko jo uThā.e haath
sūrateñ kuchh jhalak paḌīñ āñsūoñ kī taḌap ke saath
shakl nazar meñ phir ga.ī duḳhtar-e-shīr-ḳhār kī
haa.e vo ruḳh gulāb sā uf vo hañsī bahār kī
māya-e-sad-nashāt thī jo dil-e-be-qarār kī
jhūltī hai vo jhūlnā god meñ ab mazār kī
aaj barā-e-fātiha shaam ko jo uThā.e haath
sūrateñ kuchh jhalak paḌīñ āñsūoñ kī taḌap ke saath
haa.e vo māhtāb sā rū-e-rafīqa-e-hayāt
āñkhoñ meñ khīñch ke aa ga.ī saarī hasīn kā.enāt
yaad pe naqsh ho ga.ī guzrī huī har ek baat
haa.e shabāb kī vo maut uf rī judā.ī kī vo raat
aaj barā-e-fātiha shaam ko jo uThā.e haath
sūrateñ kuchh jhalak paḌīñ āñsūoñ kī taḌap ke saath
aaj bara-e-fatiha sham ko jo uThae hath
suraten kuchh jhalak paDin aansuon ki taDap ke sath
uf wo baradar-e-saghir sahn mein khelta hua
gard-o-ghubar se tamam gora badan aTa hua
hae ri bad-nasib sham ghar se wo jab KHafa hua
hichkiyan aain dam ghuTa KHatma zist ka hua
aaj bara-e-fatiha sham ko jo uThae hath
suraten kuchh jhalak paDin aansuon ki taDap ke sath
KHushk wo chehra-e-pidar jism nahif-o-na-tawan
hath mein rasha ka numud zard jabin pe jhurriyan
nur-e-taqaddus-o-jalal rish-e-safed se ayan
zist ki thartharahaTen sham-e-sahar ki dastan
aaj bara-e-fatiha sham ko jo uThae hath
suraten kuchh jhalak paDin aansuon ki taDap ke sath
hae wo madar-e-hazin aankh ke dard se niDhaal
phir wahi dukh-bhari karah kar gai dil ko paemal
waqt se pahle kaT gaya zindagi ka sunahra jal
sham se qabl ho gaya mehr-e-hayat ka zawal
aaj bara-e-fatiha sham ko jo uThae hath
suraten kuchh jhalak paDin aansuon ki taDap ke sath
shakl nazar mein phir gai duKHtar-e-shir-KHar ki
hae wo ruKH gulab sa uf wo hansi bahaar ki
maya-e-sad-nashat thi jo dil-e-be-qarar ki
jhulti hai wo jhulna god mein ab mazar ki
aaj bara-e-fatiha sham ko jo uThae hath
suraten kuchh jhalak paDin aansuon ki taDap ke sath
hae wo mahtab sa ru-e-rafiqa-e-hayat
aankhon mein khinch ke aa gai sari hasin kaenat
yaad pe naqsh ho gai guzri hui har ek baat
hae shabab ki wo maut uf ri judai ki wo raat
aaj bara-e-fatiha sham ko jo uThae hath
suraten kuchh jhalak paDin aansuon ki taDap ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.