pani ka khel
paanī par ik tasvīr hamārī ubhrī thī
ik tasvīr zamāne kī
aur kabhī ye tasvīreñ aapas meñ gaDmaD ho jātīñ
ik duuje meñ ghul-mil jātīñ
phir se judā ho jaatī thiiñ
paanī ke ik qatre ne in ā.ankhoñ meñ
dekho kaisā khel rachāyā
jaane kaisā paanī thā us paanī par bahte
kaise kaise bāzār lage the
kaisī kaisī tasvīreñ
jaane kaun thā
ham apne kurte ke dāman se
kis ke aañsū poñchh rahe the
phir ik lahr uThī saarā bāzār is bāzār meñ, ham donoñ
gahre paanī meñ Duub rahe the
pani par ek taswir hamari ubhri thi
ek taswir zamane ki
aur kabhi ye taswiren aapas mein gaDmaD ho jatin
ek duje mein ghul-mil jatin
phir se juda ho jati thin
pani ke ek qatre ne in aaankhon mein
dekho kaisa khel rachaya
jaane kaisa pani tha us pani par bahte
kaise kaise bazar lage the
kaisi kaisi taswiren
jaane kaun tha
hum apne kurte ke daman se
kis ke aansu ponchh rahe the
phir ek lahr uThi sara bazar is bazar mein, hum donon
gahre pani mein Dub rahe the
- Book : Sitara Ya Aasman (Pg. 63)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.