pani
kal raat jab apnī zulfeñ fazā meñ bikhrā chukī thī
aur thakā huā aalam
us ke gudāz ubhāroñ se lipTā so rahā thā
maiñ be-ḳhvābī kā maarā
apne kamre meñ us kī piñDliyāñ sahlā rahā thā
bath-rōm meñ paanī kī ik ToTī se
Tap Tap kī āvāz aa rahī thī
maiñ ne sochā paanī to vaqt kī alāmat hai
ye bāth-rōm meñ buuñd buuñd gir rahā hai
agar jo TuuTī ko maiñ kas duuñ
kyā vaqt kā bahnā ruk jā.egā
kyā kun-fa-yakūn se pahle aise hī
vaqt ik pipe meñ Thahrā thā
kal raat jab apni zulfen faza mein bikhra chuki thi
aur thaka hua aalam
us ke gudaz ubhaaron se lipTa so raha tha
main be-KHwabi ka mara
apne kamre mein us ki pinDliyan sahla raha tha
bath-room mein pani ki ek ToTi se
Tap Tap ki aawaz aa rahi thi
main ne socha pani to waqt ki alamat hai
ye baath-room mein bund bund gir raha hai
agar jo TuTi ko main kas dun
kya waqt ka bahna ruk jaega
kya kun-fa-yakun se pahle aise hi
waqt ek pipe mein Thahra tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.