pani se pani se mile
paanī se paanī se mile
ye baat koī na.ī nahīñ hai
maiñ roz-e-avval se jāntā huuñ
jo chup rahegī zabān-e-ḳhanjar
lahū pukāregā āstīñ kā
ye māntā huuñ
magar maiñ qātil kā ham-navā huuñ
mujhe adālat se buġhz bhī hai
yahī hai koshish
tamām quvvat tamām fahm-o-shu.ūr apnā
maiñ sarf kar duuñ
ise bachā luuñ
ki mere andar bhī ek qātil
bahut dinoñ se chhupā huā hai
pani se pani se mile
ye baat koi nai nahin hai
main roz-e-awwal se jaanta hun
jo chup rahegi zaban-e-KHanjar
lahu pukarega aastin ka
ye manta hun
magar main qatil ka ham-nawa hun
mujhe adalat se bughz bhi hai
yahi hai koshish
tamam quwwat tamam fahm-o-shuur apna
main sarf kar dun
ise bacha lun
ki mere andar bhi ek qatil
bahut dinon se chhupa hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.