pahaDon par main nange panw chalna chahti hun
hudūd-e-shahr se bāhar
kaḌaktī dhuup meñ chatiyal pahāḌoñ par
maiñ nange paañv chalnā chāhtī huuñ mujhe mahsūs hotā hai
havā sahrā meñ tanhā.ī kā nauha paḌh rahī hai chaTānoñ ke badan
mere gulābī narm talvoñ se kuchal jaane kī hasrat meñ sulagte haiñ
dahakte pattharoñ ke hoñT
merī uñgliyoñ ke lams kī chāhat meñ jalte haiñ
kisī zī-rūh ke qadmoñ kī aahaT ko tarastī ye chaTāneñ
jaane kab se muntazir haiñ un kī jo dukh baañT lete haiñ
qarīb aate haiñ
duurī kī ḳhalījeñ paaT lete haiñ
maiñ un se jā milūñgī aur sargoshī karūñgī
suno maiñ bhī dukhī huuñ farq bas ye hai
tumheñ tanhā.ī kā ġham hai mujhe logoñ se mil kar dukh mile haiñ
suno tanhā.ī be-shak jāñ-gusil hai dushman-e-dil hai
magar tanhā.ī meñ phir bhī amaañ hai ye dukh kaisā hī gahrā kyoñ na ho
phir bhī rag-e-jāñ se qarīb aa.e hue
logoñ ke baḳhshinda dukhoñ se kam hī hogā
kam hī hotā hai use sahnā bahut mushkil sahī mumkin to hotā hai
hudud-e-shahr se bahar
kaDakti dhup mein chatiyal pahaDon par
main nange panw chalna chahti hun mujhe mahsus hota hai
hawa sahra mein tanhai ka nauha paDh rahi hai chaTanon ke badan
mere gulabi narm talwon se kuchal jaane ki hasrat mein sulagte hain
dahakte pattharon ke honT
meri ungliyon ke lams ki chahat mein jalte hain
kisi zi-ruh ke qadmon ki aahaT ko tarasti ye chaTanen
jaane kab se muntazir hain un ki jo dukh banT lete hain
qarib aate hain
duri ki KHalijen paT lete hain
main un se ja milungi aur sargoshi karungi
suno main bhi dukhi hun farq bas ye hai
tumhein tanhai ka gham hai mujhe logon se mil kar dukh mile hain
suno tanhai be-shak jaan-gusil hai dushman-e-dil hai
magar tanhai mein phir bhi aman hai ye dukh kaisa hi gahra kyon na ho
phir bhi rag-e-jaan se qarib aae hue
logon ke baKHshinda dukhon se kam hi hoga
kam hi hota hai use sahna bahut mushkil sahi mumkin to hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.