pahchan maKHuz
thūkoñ kī milāvaT se ḳhuun palīd ho saktā hai
Dhoñg ke rachāne se manzar tabdīl ho saktā hai
āñkheñ samundar dekh dekh kar niilī ho saktī haiñ
samundar dekhne vaalī aañkh meñ paanī rahne lagtā hai
shā.iroñ ko dekh-dekh kar shā.erī nahīñ ho saktī
sarqa-band ke dil meñ ḳhauf rahne lagtā hai
samundar kī jhaag par safar karne vaalā jahāz
langar-andāz hone se pahle Dūbne lagtā hai
jhuuT bāñdhne vaalā majāz
but banñe se pahle TūTne lagtā hai
thukon ki milawaT se KHun palid ho sakta hai
Dhong ke rachane se manzar tabdil ho sakta hai
aankhen samundar dekh dekh kar nili ho sakti hain
samundar dekhne wali aankh mein pani rahne lagta hai
shairon ko dekh-dekh kar shaeri nahin ho sakti
sarqa-band ke dil mein KHauf rahne lagta hai
samundar ki jhag par safar karne wala jahaz
langar-andaz hone se pahle Dubne lagta hai
jhuT bandhne wala majaz
but banne se pahle TuTne lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.