pahchan
tum kahte ho
tum ne sūraj dekhā hai
jaltī sham'eñ bujhtā manzar dekhā hai
tum kahte ho
tum vīrānoñ se guzre ho
murjhā.ī kaliyāñ dekhī haiñ
luTte ghar aur ujḌī galiyāñ dekhī haiñ
tum kahte ho
tum ne ḳhuun meñ Duube kāñTe dekhe haiñ
rāhoñ par phūloñ ke namūne dekhe haiñ
tum kahte ho
tum ne taḌaptī bijlī dekhī hai
paanī se niklī machhlī dekhī hai
ākāsh se TuuTā taara dekhā hai
be-tāb machaltā paara dekhā hai
tum kaise āñkhoñ vaale ho
phir bhī mujhe pahchān na paa.e
tum kahte ho
tum ne suraj dekha hai
jalti sham'en bujhta manzar dekha hai
tum kahte ho
tum viranon se guzre ho
murjhai kaliyan dekhi hain
luTte ghar aur ujDi galiyan dekhi hain
tum kahte ho
tum ne KHun mein Dube kanTe dekhe hain
rahon par phulon ke namune dekhe hain
tum kahte ho
tum ne taDapti bijli dekhi hai
pani se nikli machhli dekhi hai
aakash se TuTa tara dekha hai
be-tab machalta para dekha hai
tum kaise aankhon wale ho
phir bhi mujhe pahchan na pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.