paheliyan
merī hī sochoñ meñ
kyoñ makḌī ne itne jaal bune haiñ
phūloñ jaisī yādoñ meñ
ye kāñToñ jaisī chubhan hai kyūñkar
tum mujh se mere ḳhvāboñ meñ har shab
milne kyoñ aatī ho
mere kañdhe par sar rakh kar
pyaar bhare naġhme gaatī ho
bekal dil ko bahlātī ho
lekin din meñ ye
kyā ho jaatā hai tum ko
yuuñ lagtā hai mujhe dekh kar
jaise tum ghabrā jaatī ho tum se
baat nahīñ ho paatī
aur mujhe bhī ek soch rah rah kar jaise taḌpātī hai
mere qad sī chhoTī rāheñ lambī kyūñkar ho jaatī haiñ
aur tumhārī zulfoñ ne bhī
kyūñkar baḌhnā chhoḌ diyā hai
meri hi sochon mein
kyon makDi ne itne jal bune hain
phulon jaisi yaadon mein
ye kanTon jaisi chubhan hai kyunkar
tum mujh se mere KHwabon mein har shab
milne kyon aati ho
mere kandhe par sar rakh kar
pyar bhare naghme gati ho
bekal dil ko bahlati ho
lekin din mein ye
kya ho jata hai tum ko
yun lagta hai mujhe dekh kar
jaise tum ghabra jati ho tum se
baat nahin ho pati
aur mujhe bhi ek soch rah rah kar jaise taDpati hai
mere qad si chhoTi rahen lambi kyunkar ho jati hain
aur tumhaari zulfon ne bhi
kyunkar baDhna chhoD diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.