pahle to shahr aisa na tha
ik baar chal kar dekh leñ
shāyad guzishta mausamoñ kā koī ik
dhundlā nishāñ mil jaa.e
aur phir se fazā shādāb ho
ujḌā huā ik ḳhvāb ho
tasvīr meñ kuchh gard-bād-e-bāqiyāt-e-mimbar-o-mehrāb ho
ik baar chal kar dekh leñ
phir band hote shahr ke bāzār ko
jhāñkeñ zarā
ujḌī dukānoñ meñ
kulāh o jubba o dastār ko
ik shahr-e-tāza-kār ko kuchh der bhūleñ
aur us ko silvaToñ meñ
DhūñDeñ ik khoī huī tasvīr ko
tasvīr meñ kuchh bāqiyāt-e-mimbar-o-mehrāb haiñ
kuchh jalva-hā-e-ahd-e-ālam-tāb haiñ
vo laash jo kuchlī ga.ī
vo ḳhvāb jo rauñde ga.e
vo naam jo bhūle ga.e
in silvaToñ meñ dafn
kitnī barkatoñ ke raaz haiñ
ik baar chal kar dekh leñ
pahle to shahr aisā na thā
ek bar chal kar dekh len
shayad guzishta mausamon ka koi ek
dhundla nishan mil jae
aur phir se faza shadab ho
ujDa hua ek KHwab ho
taswir mein kuchh gard-baad-e-baqiyat-e-mimbar-o-mehrab ho
ek bar chal kar dekh len
phir band hote shahr ke bazar ko
jhanken zara
ujDi dukanon mein
kulah o jubba o dastar ko
ek shahr-e-taza-kar ko kuchh der bhulen
aur us ko silwaTon mein
DhunDen ek khoi hui taswir ko
taswir mein kuchh baqiyat-e-mimbar-o-mehrab hain
kuchh jalwa-ha-e-ahd-e-alam-tab hain
wo lash jo kuchli gai
wo KHwab jo raunde gae
wo nam jo bhule gae
in silwaTon mein dafn
kitni barkaton ke raaz hain
ek bar chal kar dekh len
pahle to shahr aisa na tha
- Book : dasht ajab hairanii ka shayar (Pg. 69)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.