pahli dastak
tum ne pahlī dastak dī
aur lauT ga.e
ham ye soch ke dil-darvāza vā kar baiThe
shāyad phir tum lauT ke aao
lekin tum to qarya qarya ghūmne vaalī
shoḳh havā kā jhoñkā nikle
tum kyā jaano
pahlī dastak kyā hotī hai
dil-darvāza kab khultā hai
tum kyā jaano
dhīmī dhīmī aag meñ jalnā kyā hotā hai
aap hī apnī lau meñ pighalnā kyā hotā hai
tum ne pahlī dastak dī
aur lauT ga.e
tum ne pahli dastak di
aur lauT gae
hum ye soch ke dil-darwaza wa kar baiThe
shayad phir tum lauT ke aao
lekin tum to qarya qarya ghumne wali
shoKH hawa ka jhonka nikle
tum kya jaano
pahli dastak kya hoti hai
dil-darwaza kab khulta hai
tum kya jaano
dhimi dhimi aag mein jalna kya hota hai
aap hi apni lau mein pighalna kya hota hai
tum ne pahli dastak di
aur lauT gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.