pahli nazar
haa.e vo pahlī nazar vo us kī āñkhoñ ke payām
vo lajā kar muskurā kar dast-e-nāzuk se salām
har nazar meñ mai-kade ġhaltāñ vo chanchal bāñkpan
rang-e-gulshan bhī tasadduq yuuñ sarāpā gul-badan
sar pe jhūmar paañv meñ pāzeb ik zohra-ḳhisāl
aur mujassam kahkashāñ us ke dupaTTe kā jamāl
barq kī tasvīr-e-kul shānoñ pe larzāñ choTiyāñ
marmarīñ hāthoñ meñ apnī dhun meñ gaatī chūḌiyāñ
kaan meñ bunde sarāpā āftab-o-māhtāb
parda-dārī kyā kahūñ ruḳh par tajallī kī naqāb
chaal meñ aahū kī shoḳhī chaal meñ badmastiyāñ
har qadam par inqalāb-e-dahr kī rangīniyāñ
har takallum ik qayāmat har tabassum barq-rez
aur jis kī sādgī bhī ik fasāna hashr-ḳhez
bā-takalluf bā-adab sad-nāz vo jannat-badosh
ek din aa.ī mirī pursish ko vo nik.hat-farosh
āñkhoñ āñkhoñ meñ diyā paiġhām-e-ishq-o-be-ḳhudī
zindagānī ik sharāb-e-tund ban kar rah ga.ī
thī vo duzdīda nigāh-e-dil-sitāñ mere liye
aa gayā thā mere ghar hī gulsitāñ mere liye
jaise mil jaa.e ḳhudā.ī is tarah masrūr thā
ghar kī raunaq kyā kahūñ us vaqt kā ik tuur thā
vo tahayyur-ḳhez vo kāfir nazāre al-amāñ
shauq-e-mohkam al-amāñ mub.ham ishāre al-amāñ
merī jānib dekh kar hañs hañs ke sharmātī rahī
nik.hat-e-gesū se ik ik saañs mahkātī rahī
nīchī nazroñ se vo kuchh kahnā ba-unvān-e-hayā
aap kab tashrīf lā.eñge ye us kī iltijā
kyā kahūñ kaise kahūñ rah rah ke ye sochā kiyā
jab na kuchh bhī ban paḌā to dard meñ Duubā kiyā
yaas se uTThī nazar aañsū bahā kar rah ga.ī
aur zabān-e-hāl āḳhir laḌkhaḌā kar rah ga.ī
al-ġharaz hone lagī ruḳhsat vo jān-e-ārzū
ashk barsāne lagā āḳhir jahān-e-ārzū
us kā jaanā thā ki vīrāñ ho ga.ī merī nazar
le ga.ī hamrāh apne raunaq-e-dīvār-o-dar
kis qadar rangīn thī fitrat kī naqqāshī na pūchh
shoḳhiyāñ kartī huī tāroñ kī shahzādī na pūchh
hae wo pahli nazar wo us ki aankhon ke payam
wo laja kar muskura kar dast-e-nazuk se salam
har nazar mein mai-kade ghaltan wo chanchal bankpan
rang-e-gulshan bhi tasadduq yun sarapa gul-badan
sar pe jhumar panw mein pazeb ek zohra-KHisal
aur mujassam kahkashan us ke dupaTTe ka jamal
barq ki taswir-e-kul shanon pe larzan choTiyan
marmarin hathon mein apni dhun mein gati chuDiyan
kan mein bunde sarapa aaftab-o-mahtab
parda-dari kya kahun ruKH par tajalli ki naqab
chaal mein aahu ki shoKHi chaal mein badmastiyan
har qadam par inqalab-e-dahr ki ranginiyan
har takallum ek qayamat har tabassum barq-rez
aur jis ki sadgi bhi ek fasana hashr-KHez
ba-takalluf ba-adab sad-naz wo jannat-badosh
ek din aai meri pursish ko wo nikhat-farosh
aankhon aankhon mein diya paigham-e-ishq-o-be-KHudi
zindagani ek sharab-e-tund ban kar rah gai
thi wo duzdida nigah-e-dil-sitan mere liye
aa gaya tha mere ghar hi gulsitan mere liye
jaise mil jae KHudai is tarah masrur tha
ghar ki raunaq kya kahun us waqt ka ek tur tha
wo tahayyur-KHez wo kafir nazare al-aman
shauq-e-mohkam al-aman mubham ishaare al-aman
meri jaanib dekh kar hans hans ke sharmati rahi
nikhat-e-gesu se ek ek sans mahkati rahi
nichi nazron se wo kuchh kahna ba-unwan-e-haya
aap kab tashrif laenge ye us ki iltija
kya kahun kaise kahun rah rah ke ye socha kiya
jab na kuchh bhi ban paDa to dard mein Duba kiya
yas se uTThi nazar aansu baha kar rah gai
aur zaban-e-haal aaKHir laDkhaDa kar rah gai
al-gharaz hone lagi ruKHsat wo jaan-e-arzu
ashk barsane laga aaKHir jahan-e-arzu
us ka jaana tha ki viran ho gai meri nazar
le gai hamrah apne raunaq-e-diwar-o-dar
kis qadar rangin thi fitrat ki naqqashi na puchh
shoKHiyan karti hui taron ki shahzadi na puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.