paigham-e-mohabbat
paiġhām-e-mohabbat pe qalam ham ne uThāyā
sadbhāvnā kā pahlā qadam ham ne uThāyā
masjid ke banāne meñ rahā haath hamārā
mandir meñ sajāne ko sanam ham ne uThāyā
kuchh farq nahīñ samjhā kisī diin dharm meñ
har qaum ke maz.hab kā alam ham ne uThāyā
qur.āñ liyā hāthoñ meñ sanam ham ne uThāyā
tab jā ke sar-e-dair-o-haram ham ne uThāyā
ghul paa.e na nafrat kā yahāñ zahr fazā meñ
phailā huā har dām-e-sitam ham ne uThāyā
is koshish-e-paiham meñ ka.ī zaḳhm lage haiñ
zāhir na kiyā us kā bharam ham ne uThāyā
duniyā kā har ik zulm-o-sitam ham ne uThāyā
hañs-hañs har ik ranj-o-alam ham ne uThāyā
insān ab insāñ kā lahū chaaT na paa.e
is ke liye mazbūt qadam ham ne uThāyā
khaa.ī jo qasam ham ne kabhī TuuT na paa.ī
ye bojh bhī allāh qasam ham ne uThāyā
az-bas-ki ziyāda ho yā kam ham ne uThāyā
rotī huī har aañkh kā nam ham ne uThāyā
holī meñ huī ḳhuun kī holī to huā dukh
toḌī ga.ī masjid bhī to ġham ham ne uThāyā
rahnā hai to ham aise raheñ pyaar se 'ahsan'
kahnā na paḌe bār-e-sitam ham ne uThāyā
paigham-e-mohabbat pe qalam hum ne uThaya
sadbhawna ka pahla qadam hum ne uThaya
masjid ke banane mein raha hath hamara
mandir mein sajaane ko sanam hum ne uThaya
kuchh farq nahin samjha kisi din dharm mein
har qaum ke mazhab ka alam hum ne uThaya
quran liya hathon mein sanam hum ne uThaya
tab ja ke sar-e-dair-o-haram hum ne uThaya
ghul pae na nafrat ka yahan zahr faza mein
phaila hua har dam-e-sitam hum ne uThaya
is koshish-e-paiham mein kai zaKHm lage hain
zahir na kiya us ka bharam hum ne uThaya
duniya ka har ek zulm-o-sitam hum ne uThaya
hans-hans har ek ranj-o-alam hum ne uThaya
insan ab insan ka lahu chaT na pae
is ke liye mazbut qadam hum ne uThaya
khai jo qasam hum ne kabhi TuT na pai
ye bojh bhi allah qasam hum ne uThaya
az-bas-ki ziyaada ho ya kam hum ne uThaya
roti hui har aankh ka nam hum ne uThaya
holi mein hui KHun ki holi to hua dukh
toDi gai masjid bhi to gham hum ne uThaya
rahna hai to hum aise rahen pyar se 'ahsan'
kahna na paDe bar-e-sitam hum ne uThaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.