panah
guzishta bārishoñ kī be-charāġh rātoñ meñ
jab kahāniyāñ bunte hue merī aañkh lag jaatī
to kuttoñ aur bheḌiyoñ kā bhauñktā ġhurrātā ġhol
mere ḳhvāboñ par TuuT paḌtā
merī car ke gird
aur mere makān ke chaar sū
apne apne bāñTe hue ilāqoñ se nikal kar
mujh par hamla karne kī ḳhātir
azalī dushmanoñ kā Tolā
ek ho kar
merī bū sūñghtā phirtā
lekin taaza bārishoñ ne
ḳhvāb aur haqīqat kā farq miTā diyā hai
lihāzā
ab vo maikānikī vaqt ke pāband nahīñ rahe
aur psychological vaqt ke mutābiq mujhe khojte haiñ
ek pahar meñ chhiyānve baar
bhūñkte ġhurrāte aur raal Tapkāte hue
magar maiñ unheñ kahīñ nahīñ miltī
na ghar meñ na galī meñ na car meñ
kyoñ ki ab maiñ ek nazm kī panāh meñ huuñ
jis kī bū sūñghnā
un ke bas se bāhar hai
guzishta barishon ki be-charagh raaton mein
jab kahaniyan bunte hue meri aankh lag jati
to kutton aur bheDiyon ka bhaunkta ghurraata ghol
mere KHwabon par TuT paDta
meri car ke gird
aur mere makan ke chaar su
apne apne banTe hue ilaqon se nikal kar
mujh par hamla karne ki KHatir
azali dushmanon ka Tola
ek ho kar
meri bu sunghta phirta
lekin taza barishon ne
KHwab aur haqiqat ka farq miTa diya hai
lihaza
ab wo maikaniki waqt ke paband nahin rahe
aur psychological waqt ke mutabiq mujhe khojte hain
ek pahar mein chhiyanwe bar
bhunkte ghurraate aur ral Tapkate hue
magar main unhen kahin nahin milti
na ghar mein na gali mein na car mein
kyon ki ab main ek nazm ki panah mein hun
jis ki bu sunghna
un ke bas se bahar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.