panghaT
dosh par gāgar uThā.e naaz farmātī huī
aa rahī hai aaj vo panghaT pe kuchh gaatī huī
baj rahī haiñ ghaaT par phir husn kī shahnā.iyāñ
vajd kartī hai zamīñ mad.hosh sā hai āsmāñ
apnī apnī gāgaroñ ko bhar rahī haiñ deviyāñ
ye fazā-e-shām hai yā koī naġhmoñ kā jahāñ
gungunātī muskurātī kaif barsātī huī
saarī duniyā jhūmtī saarī fazā gaatī huī
kyoñ mujhe hotā hai ehsās-e-tabāhī kyā karūñ
ik ḳhalish sī hai mire dil meñ ilāhī kyā karūñ
is qadar āḳhir tabī.at aaj ghabrātī hai kyoñ
kuchh nahīñ khultā ki dil meñ baat ye aatī hai kyoñ
apne dil kī baat thī is ko miTā saktā nahīñ
uf re mahrūmī ishāre se bulā saktā nahīñ
mast āñkhoñ se shabāb-e-rūh barsātī huī
jā rahī hai vo mire armāñ ko Thukrātī hoī
dosh par gagar uThae naz farmati hui
aa rahi hai aaj wo panghaT pe kuchh gati hui
baj rahi hain ghaT par phir husn ki shahnaiyan
wajd karti hai zamin madhosh sa hai aasman
apni apni gagaron ko bhar rahi hain dewiyan
ye faza-e-sham hai ya koi naghmon ka jahan
gungunati muskuraati kaif barsati hui
sari duniya jhumti sari faza gati hui
kyon mujhe hota hai ehsas-e-tabahi kya karun
ek KHalish si hai mere dil mein ilahi kya karun
is qadar aaKHir tabiat aaj ghabraati hai kyon
kuchh nahin khulta ki dil mein baat ye aati hai kyon
apne dil ki baat thi is ko miTa sakta nahin
uf re mahrumi ishaare se bula sakta nahin
mast aankhon se shabab-e-ruh barsati hui
ja rahi hai wo mere arman ko Thukraati hoi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.