parda-e-junun
ab mire jism pe rusvā.ī kā pairāhan hai
tum use chaak nahīñ kar sakte
mere vīrānoñ ko dekhoge to Dar jāoge
kaun thā dār-o-rasan par tumheñ ma.alūm nahīñ
kaun sangsār huā
kaun chaḌhā suulī par
kis ke hāthoñ ne uThāyā tesha
khaal khiñchvā.ī ga.ī thī kis kī
tum use jaan na pāoge kabhī
ki abhī lazzat-e-rusvā.ī se mahrūm ho tum
zaḳhm khāne kī abhī taab nahīñ hai tum meñ
ab mere jism pe ruswai ka pairahan hai
tum use chaak nahin kar sakte
mere viranon ko dekhoge to Dar jaoge
kaun tha dar-o-rasan par tumhein malum nahin
kaun sangsar hua
kaun chaDha suli par
kis ke hathon ne uThaya tesha
khaal khinchwai gai thi kis ki
tum use jaan na paoge kabhi
ki abhi lazzat-e-ruswai se mahrum ho tum
zaKHm khane ki abhi tab nahin hai tum mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.