aarzū anginat peḌoñ kā jangal hai
aur is jangal ke ek peḌ kī ek ma.amūlī sī shāḳh par
vo parinda rahtā hai jis kī talāsh meñ
lākhoñ sūrmā maare maare phirte haiñ
aur parinde ko nahīñ paate
kyūñki ye parinda sirf ḳhāmoshī kī āvāz meñ boltā hai
aur sirf añdhere meñ nazar aatā hai
lekin peḌ ke tane meñ rahne vaalā rūpahlā saañp
aksar parinde tak pahuñch jaatā hai
kyūñki ye saañp na dekh saktā hai
aur na sun saktā hai
aarzu anginat peDon ka jangal hai
aur is jangal ke ek peD ki ek mamuli si shaKH par
wo parinda rahta hai jis ki talash mein
lakhon surma mare mare phirte hain
aur parinde ko nahin pate
kyunki ye parinda sirf KHamoshi ki aawaz mein bolta hai
aur sirf andhere mein nazar aata hai
lekin peD ke tane mein rahne wala rupahla sanp
aksar parinde tak pahunch jata hai
kyunki ye sanp na dekh sakta hai
aur na sun sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.