parinde fikrmand hain
parinde amn-o-āshatī kī justujū meñ
pāra-pāra abr kī tarah
ravāñ
kabhī yahāñ kabhī vahāñ
bhaTak rahe haiñ chār-sū
vo ġharb ho ki sharq ho
shumāl yā junūb ho
kahīñ to koī gosha 'āfiyat kā ho
jahāñ sukūñ se
kuchh dinoñ qiyām kar sakeñ
magar sukūn
vahm yā ḳhayāl kī misāl hai
zarā sī āb-jū nadī
ki lā-hudūd bahr ho
tamām ek sail-e-surḳh maujzan
tamām āb-zār haiñ lahū-lahū
had-e-nigāh tak samāñ
dhuāñ dhuāñ
havā meñ hai rachī-basī
'ajab sī bū
ki jaise
un ke anginat 'azīz jo the par-fishāñ
aniis jo the naġhma-zan
rafīq jo the mahv-e-shauq
abhī abhī vo yak-ba-yak
jal-bujhe hoñ tābkār lahr se
ḳhalīfa-e-zamīñ ke Dhaa.e qahr se
rutoñ kī nā-muvāfaqat
fazā kī nā-munāsibat
parindoñ kī muhājrat
hai nuqta-e-urūj par
vo aane vaalī nasl ke liye bhī fikrmand haiñ
parinde amn-o-ashati ki justuju mein
para-para abr ki tarah
rawan
kabhi yahan kabhi wahan
bhaTak rahe hain chaar-su
wo gharb ho ki sharq ho
shumal ya junub ho
kahin to koi gosha 'afiyat ka ho
jahan sukun se
kuchh dinon qiyam kar saken
magar sukun
wahm ya KHayal ki misal hai
zara si aab-ju nadi
ki la-hudud bahr ho
tamam ek sail-e-surKH maujzan
tamam aab-zar hain lahu-lahu
had-e-nigah tak saman
dhuan dhuan
hawa mein hai rachi-basi
'ajab si bu
ki jaise
un ke anginat 'aziz jo the par-fishan
anis jo the naghma-zan
rafiq jo the mahw-e-shauq
abhi abhi wo yak-ba-yak
jal-bujhe hon tabkar lahr se
KHalifa-e-zamin ke Dhae qahr se
ruton ki na-muwafaqat
faza ki na-munasibat
parindon ki muhajrat
hai nuqta-e-uruj par
wo aane wali nasl ke liye bhi fikrmand hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.