parinde
maiñ in parindoñ ko jāntā huuñ
mire badan ko ye baañT leñge
ki mere murda badan se yaaro
ye mere ā'sāb chhāñT leñge
maiñ in parindoñ ko jāntā huuñ
maiñ in parindoñ ko jāntā huuñ
maiñ in parindoñ ko jāntā huuñ
ki jin kī choñcheñ
lahū meñ tar haiñ
ki jin ke panjoñ meñ haDDiyāñ haiñ
jo āsmānoñ kī vus'atoñ se bhī dekh lete haiñ
murda lāsheñ
maiñ in parindoñ ko jāntā huuñ
maiñ in parindoñ ko jāntā huuñ
maiñ in parindoñ ko jāntā huuñ
jo apnī manhūs būḌhī āñkhoñ se dekhte haiñ
mire badan ko mire badan ko
mire badan ko jis ke ā'sāb saḌ chuke haiñ
ki jo ġhalāzat kā ek ambār ban gayā hai
ki jo ta'affun se apnī puurī fazā ko masmūm kar rahā hai
maiñ jāntā huuñ ki ye parinde
jo dekhte haiñ mire badan ko 'ajab tarah chashm-e-nīm-vā se
ye merī āñkhoñ ke band hone ke muntazir haiñ
ki band hote hī merī āñkheñ
main in parindon ko jaanta hun
mere badan ko ye banT lenge
ki mere murda badan se yaro
ye mere aa'sab chhanT lenge
main in parindon ko jaanta hun
main in parindon ko jaanta hun
main in parindon ko jaanta hun
ki jin ki chonchen
lahu mein tar hain
ki jin ke panjon mein haDDiyan hain
jo aasmanon ki wus'aton se bhi dekh lete hain
murda lashen
main in parindon ko jaanta hun
main in parindon ko jaanta hun
main in parindon ko jaanta hun
jo apni manhus buDhi aankhon se dekhte hain
mere badan ko mere badan ko
mere badan ko jis ke aa'sab saD chuke hain
ki jo ghalazat ka ek ambar ban gaya hai
ki jo ta'affun se apni puri faza ko masmum kar raha hai
main jaanta hun ki ye parinde
jo dekhte hain mere badan ko 'ajab tarah chashm-e-nim-wa se
ye meri aankhon ke band hone ke muntazir hain
ki band hote hi meri aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.