park ki aaKHiri adhuri bench
nīlgūñ jhiil meñ sunahre aks
kāsnī shaam kā rasīlā-pan
narm pattoñ ko gudgudī kartī
sarsarātī havā kī maddham chaap
būḌhe bargad kī oT se uThtī
ik madhur bāñsurī kī sargoshī
sabz tulsī ke bhīgte ras meñ
ek parchhā.īñ saa.e meñ mudġham
park kī āḳhirī adhūrī bench
kapkapāte hue badan ke saath
band muTThī meñ kāġhazī puḌiyā
jis ke andar pasījte namkīn
chand kachche pake makaī daane
jo hathelī ke lams ko pā kar
shahd-āmez ho chuke the sab
vaqt ke ābnūs chehre par
saare manzar badal chuke haiñ ab
malgajī shaam kī aziyyat meñ
bain kartī udaas ḳhāmoshī
zard bargad kī khokhlī jaḌ meñ
ik gilahrī kī sāl-ḳhūrda laash
ḳhushk tulsī ke bikhre pattoñ par
nīm-jāñ muzmahil niDhāl kalī
ghar palaTte hue parindoñ kī
dard meñ Dūbtī huī āvāz
park kī āḳhirī adhūrī bench
koī saaya na koī parchhā.īñ
charmarāyā huā sā ik kāġhaz
chand kachche pake makaī daane
jo bahut talḳh ho chuke haiñ ab
nilgun jhil mein sunahre aks
kasni sham ka rasila-pan
narm patton ko gudgudi karti
sarsaraati hawa ki maddham chap
buDhe bargad ki oT se uThti
ek madhur bansuri ki sargoshi
sabz tulsi ke bhigte ras mein
ek parchhain sae mein mudgham
park ki aaKHiri adhuri bench
kapkapate hue badan ke sath
band muTThi mein kaghazi puDiya
jis ke andar pasijte namkin
chand kachche pake makai dane
jo hatheli ke lams ko pa kar
shahd-amez ho chuke the sab
waqt ke aabnus chehre par
sare manzar badal chuke hain ab
malgaji sham ki aziyyat mein
bain karti udas KHamoshi
zard bargad ki khokhli jaD mein
ek gilahri ki sal-KHurda lash
KHushk tulsi ke bikhre patton par
nim-jaan muzmahil niDhaal kali
ghar palaTte hue parindon ki
dard mein Dubti hui aawaz
park ki aaKHiri adhuri bench
koi saya na koi parchhain
charmaraya hua sa ek kaghaz
chand kachche pake makai dane
jo bahut talKH ho chuke hain ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.