pas-e-parda
zabāñ hilī ki girā sar pe jhūltā ḳhanjar
muaaf ho na sakegī ḳhatā-e-shoḳh-labī
salāmtī hai isī meñ ki be-adab na bano
baḌe jatan se ye mahfil sajā.ī jaatī hai
ik ek bhed kī qīmat chukā.ī jaatī hai
ridā.eñ sarkeñgī pighlegā chilmanoñ kā jalāl
na-jāne sāmne ā.eñgī kitnī tasvīreñ
sulagtī hairateñ chaTḳheñgī ā.inoñ kī tarah
jo dekhnā use palkoñ meñ dafn kar denā
baḌhe hudūd-e-nazar se na kārvān-e-ḳhayāl
hai jurm-e-bā-ḳhabarī ik azaab se bhī sivā
ye jaan bhī na sakoge kidhar se tiir aaya
bisāt-e-shāḳh pe un ko qarār kyā aa.e
bahār aur hai un kī numū hai aur un kā
ye jism khulte haiñ zarkār bāzuoñ ke liye
chaTak kī guuñj hai rusvā-e-saut-o-rang magar
zabāñ hilī ki girā sar pe jhūltā ḳhanjar
zaban hili ki gira sar pe jhulta KHanjar
muaf ho na sakegi KHata-e-shoKH-labi
salamti hai isi mein ki be-adab na bano
baDe jatan se ye mahfil sajai jati hai
ek ek bhed ki qimat chukai jati hai
ridaen sarkengi pighlega chilmanon ka jalal
na-jaane samne aaengi kitni taswiren
sulagti hairaten chaTKHengi aainon ki tarah
jo dekhna use palkon mein dafn kar dena
baDhe hudud-e-nazar se na karwan-e-KHayal
hai jurm-e-ba-KHabari ek azab se bhi siwa
ye jaan bhi na sakoge kidhar se tir aaya
bisat-e-shaKH pe un ko qarar kya aae
bahaar aur hai un ki numu hai aur un ka
ye jism khulte hain zarkar bazuon ke liye
chaTak ki gunj hai ruswa-e-saut-o-rang magar
zaban hili ki gira sar pe jhulta KHanjar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.