paspai
kyuuñ jagāte ho mire siine meñ ummīdoñ ko
rahne do itnā na ehsān karo
maiñ to pardesī huuñ aur aa.ī huuñ do din ke liye
kal chalī jā.ūñgī yā parsoñ chalī jā.ūñgī
aur phir aane kā imkān nahīñ
roz yuuñ ghar se nikalnā bhī to āsān nahīñ
kyuuñ jagāte ho mire siine meñ ummīdoñ ko
kyuuñ jalāte ho mire dil ke charāġh
maiñ ne ye saare diye ḳhud hī bujhā Daale haiñ
aap is bastī ko tārīk banā rakkhā hai
jis tarah jañg kī rātoñ ko baḌe shahroñ meñ
batiyāñ ḳhud hī bujhā dete haiñ
zindagī ke sabhī āsār miTā dete haiñ
is tarah
maiñ ne ye saare diye ḳhud hī bujhā Daale haiñ
aap is bastī ko tārīk banā rakkhā hai
is pe har raat na.e hamle huā karte the
āsmānoñ se ka.ī dushman-e-jāñ tayyāre
inhīñ sham.oñ kā nishāna rakh kar
bam girā jaate the aur aag lagā jaate the
is ko tārīk hī tum rahne do
dil kī duniyā meñ ujālā na karo
merī ummīdoñ ko mad.hosh paḌā rahne do
tum nahīñ mānoge?
tum dekhte hī jāoge?
achchhā dekho!
lo jalāo mire siine ke charāġh
dil kī bastī meñ charāġhāñ kar do
phir mire jiine kaa..... yā marne kaa..... sāmāñ kar do
kyun jagate ho mere sine mein ummidon ko
rahne do itna na ehsan karo
main to pardesi hun aur aai hun do din ke liye
kal chali jaungi ya parson chali jaungi
aur phir aane ka imkan nahin
roz yun ghar se nikalna bhi to aasan nahin
kyun jagate ho mere sine mein ummidon ko
kyun jalate ho mere dil ke charagh
main ne ye sare diye KHud hi bujha Dale hain
aap is basti ko tarik bana rakkha hai
jis tarah jang ki raaton ko baDe shahron mein
batiyan KHud hi bujha dete hain
zindagi ke sabhi aasar miTa dete hain
is tarah
main ne ye sare diye KHud hi bujha Dale hain
aap is basti ko tarik bana rakkha hai
is pe har raat nae hamle hua karte the
aasmanon se kai dushman-e-jaan tayyare
inhin shamon ka nishana rakh kar
bam gira jate the aur aag laga jate the
is ko tarik hi tum rahne do
dil ki duniya mein ujala na karo
meri ummidon ko madhosh paDa rahne do
tum nahin manoge?
tum dekhte hi jaoge?
achchha dekho!
lo jalao mere sine ke charagh
dil ki basti mein charaghan kar do
phir mere jine ka ya marne ka saman kar do
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 73)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.