patthar ababilen aur hathi
vo lashkar
aur vo hāthī
aage baḌh na sake the
us patthar ko ukhāḌ pheñkne ke liye
jise chādar meñ lapeT kar rakhā gayā thā
un par
āsmān meñ
uḌtī huī abābīloñ ne
apnī choñchoñ aur panjoñ se
kankariyoñ kī bārish kī thī
aaj phir vaisā hī
ek lashkar
havā meñ uḌte hue
hāthiyoñ ke saath
baḌh rahā hai
lekin
vo abābīleñ kahāñ haiñ
jinhoñ ne
āsmān se kankariyoñ kī bārish kī thī
aur ab
vo patthar
talāsh
ruuh kī
jism meñ
mushtarak hai
sadiyoñ se
is par bhī
jaane kyoñ kuchh log
qayāmat se Dar kar
pahāḌoñ pe
chaḌh rahe haiñ
kyoñ na ham
jo apne hī jismoñ meñ qaid haiñ
nīche
utar kar
us qayāmat kā
intizār kareñ
jo bhī
abhī nahīñ aa.ī
wo lashkar
aur wo hathi
aage baDh na sake the
us patthar ko ukhaD phenkne ke liye
jise chadar mein lapeT kar rakha gaya tha
un par
aasman mein
uDti hui ababilon ne
apni chonchon aur panjon se
kankariyon ki barish ki thi
aaj phir waisa hi
ek lashkar
hawa mein uDte hue
hathiyon ke sath
baDh raha hai
lekin
wo ababilen kahan hain
jinhon ne
aasman se kankariyon ki barish ki thi
aur ab
wo patthar
talash
ruh ki
jism mein
mushtarak hai
sadiyon se
is par bhi
jaane kyon kuchh log
qayamat se Dar kar
pahaDon pe
chaDh rahe hain
kyon na hum
jo apne hi jismon mein qaid hain
niche
utar kar
us qayamat ka
intizar karen
jo bhi
abhi nahin aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.