pesh-goi
hañsī khokhlī sī hañsī
aur pothī pe ik haath rakh kar
mujhe ghuur kar
gungunāyā
yahāñ se vahāñ tak
mujhe ek bhī sabz patta dikhā.ī nahīñ de rahā
ek bhī bāñsurī kī madhur taan
paanī kī gāgar ke nīche chhalaktī huī vahshī hirnī sī āñkheñ
koī ek chamkīlā aañsū bhī baaqī nahīñ hai
dhuāñ raakh aur ḳhuun
dhartī kī ujḌī huī kokh meñ chand jhulsī huī haDDiyāñ
adh jale prem-pattroñ ke Dhāñche
daraḳhtoñ kī lāsheñ
makānoñ kī uḌtī huī dhajjiyāñ
sone rastoñ pe phirtī huī khokhlī sī havā ke sivā
aur kuchh bhī mujhe yaañ dikhā.ī nahīñ de rahā
baḌī der tak maiñ ne būḌhe nujūmī kī bāteñ sunīñ
aur ābād rāhoñ pe ḳhush-posh joḌoñ ko aañsū kī chilman se dekhā kiyā
phir achānak
na-jāne kahāñ ik bigul sā bajā
aur na jaane vo kaise nikal kar mire sāmne aa gayā
ek bhīñgā muḌe nāḳhunoñ vaalā ifrīt
jo pahle din se
mirī aañkh meñ chhup ke baiThā huā thā
mire ḳhuun par pal rahā thā
hansi khokhli si hansi
aur pothi pe ek hath rakh kar
mujhe ghur kar
gungunaya
yahan se wahan tak
mujhe ek bhi sabz patta dikhai nahin de raha
ek bhi bansuri ki madhur tan
pani ki gagar ke niche chhalakti hui wahshi hirni si aankhen
koi ek chamkila aansu bhi baqi nahin hai
dhuan rakh aur KHun
dharti ki ujDi hui kokh mein chand jhulsi hui haDDiyan
adh jale prem-pattron ke Dhanche
daraKHton ki lashen
makanon ki uDti hui dhajjiyan
sone raston pe phirti hui khokhli si hawa ke siwa
aur kuchh bhi mujhe yan dikhai nahin de raha
baDi der tak main ne buDhe nujumi ki baaten sunin
aur aabaad rahon pe KHush-posh joDon ko aansu ki chilman se dekha kiya
phir achanak
na-jaane kahan ek bigul sa baja
aur na jaane wo kaise nikal kar mere samne aa gaya
ek bhinga muDe naKHunon wala ifrit
jo pahle din se
meri aankh mein chhup ke baiTha hua tha
mere KHun par pal raha tha
- Book : Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 93)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.