phir na aawaz do
ab nahīñ ā.uñgā
maiñ tumhāre kisī daam meñ
ab nahīñ ā.uñgā
ek muddat huī
kashtī-e-dil ko jazboñ ke sailāb se
khīñch laayā huuñ maiñ
aur āñkhoñ meñ shabnam ke badle
chamaktī huī dhuup hai
dhuup se jism saarā pighal kar na.e ruup meñ Dhal gayā
is na.e ruup meñ koī ḳhvāhish nahīñ
is kaḌī dhuup meñ koī saaya nahīñ
aur saa.e kā armān bhī kis ko hai
is liye
ai farāmosh lamho mujhe
phir na āvāz do
ab nahin aaunga
main tumhaare kisi dam mein
ab nahin aaunga
ek muddat hui
kashti-e-dil ko jazbon ke sailab se
khinch laya hun main
aur aankhon mein shabnam ke badle
chamakti hui dhup hai
dhup se jism sara pighal kar nae rup mein Dhal gaya
is nae rup mein koi KHwahish nahin
is kaDi dhup mein koi saya nahin
aur sae ka arman bhi kis ko hai
is liye
ai faramosh lamho mujhe
phir na aawaz do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.