phul aur kanTa
mohan ik roz sair ko niklā
us ne dekhā ajiib nazzārā
baaġh thā jis meñ rang rang ke phuul
dekhte hī gayā vo sab kuchh bhuul
har taraf thī bahār phūloñ kī
ruuh ḳhushbū se taaza hotī thī
ek un meñ gulāb kā thā phuul
ḳhushnumā thā bahut baḌā thā phuul
bulbuleñ mast ho ke gaatī thiiñ
titliyāñ biin sī bajātī thiiñ
mohan aage baḌhā uchhalte hue
shāḳh se phuul toḌne ke liye
chubh gayā us ke haath meñ kāñTā
aur unglī se ḳhuun bahne lagā
phir bhī us ne na phuul ko chhoḌā
ek hī jhaTke se use toḌā
kī na uf tak agarche aa.ī ḳharāsh
āfrīñ ḳhuub vāh-vā shābāsh
dukh jo pahuñche to jhelo himmat se
is tarah kāmyāb tum hoge
phuul ban kar jahāñ ko mahkāo
ban ke kāñTā na ranj pahuñchāo
mohan ek roz sair ko nikla
us ne dekha ajib nazzara
bagh tha jis mein rang rang ke phul
dekhte hi gaya wo sab kuchh bhul
har taraf thi bahaar phulon ki
ruh KHushbu se taza hoti thi
ek un mein gulab ka tha phul
KHushnuma tha bahut baDa tha phul
bulbulen mast ho ke gati thin
titliyan bin si bajati thin
mohan aage baDha uchhalte hue
shaKH se phul toDne ke liye
chubh gaya us ke hath mein kanTa
aur ungli se KHun bahne laga
phir bhi us ne na phul ko chhoDa
ek hi jhaTke se use toDa
ki na uf tak agarche aai KHarash
aafrin KHub wah-wa shabash
dukh jo pahunche to jhelo himmat se
is tarah kaamyab tum hoge
phul ban kar jahan ko mahkao
ban ke kanTa na ranj pahunchao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.