Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phulon ki bahaar

Syed Mohammad Hadi

phulon ki bahaar

Syed Mohammad Hadi

MORE BYSyed Mohammad Hadi

    de rahī hai lutf gul-mehñdī har jānib qatār

    is har har shāḳh par haiñ phuul behad be-shumār

    surḳh hai koī gulābī hai koī niilā koī

    chhoTī chhoTī chittiyāñ haiñ ba.az phūloñ par paḌī

    ek jānib phuul geñde ke khile haiñ zard zard

    jin ke aage rang sone bhī ho jaatā hai gard

    is ḳhushbū se mo.attar dāman-e-gulzār hai

    phuul ye champā hai tabla-e-attār hai

    dekh kar bashshāsh ho jaatā hai qalb-e-pur-mehan

    phuul guḌhal hai āveza-e-gosh-e-chaman

    mahv-e-hairat hai latāfat dekh kar rang-e-gulāb

    ye vo gul hai jis mil saktā nahīñ hargiz javāb

    husn meñ Duubī huī hai is har har pankhuḌī

    is ḳhushbū hai mashām-e-ārzū zindagī

    sub.h ko is ke liye kyā kyā tarastī hai nasīm

    kyā qayāmat hai gul-e-shab-bū jāñ-parvar shamīm

    yā-ilāhī in meñ ye bāteñ kahāñ se aa ga.iiñ

    dekh kar hairān rah jaatī hai chashm-e-nukta-bīñ

    de rahi hai lutf gul-mehndi ki har jaanib qatar

    is ki har har shaKH par hain phul behad be-shumar

    surKH hai koi gulabi hai koi nila koi

    chhoTi chhoTi chittiyan hain baz phulon par paDi

    ek jaanib phul gende ke khile hain zard zard

    jin ke aage rang sone ka bhi ho jata hai gard

    is ki KHushbu se moattar daman-e-gulzar hai

    phul ye champa ka hai ya tabla-e-attar hai

    dekh kar bashshash ho jata hai qalb-e-pur-mehan

    phul guDhal ka hai ya aaweza-e-gosh-e-chaman

    mahw-e-hairat hai latafat dekh kar rang-e-gulab

    ye wo gul hai jis ka mil sakta nahin hargiz jawab

    husn mein Dubi hui hai is ki har har pankhuDi

    is ki KHushbu hai masham-e-arzu ki zindagi

    subh ko is ke liye kya kya tarasti hai nasim

    kya qayamat hai gul-e-shab-bu ki jaan-parwar shamim

    ya-ilahi in mein ye baaten kahan se aa gain

    dekh kar hairan rah jati hai chashm-e-nukta-bin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now