Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

piri

MORE BYNaseem Fatima Nazar lakhnavi

    sab baal pak ga.e haiñ kamar ho ga.ī hai ḳham

    āñkhoñ se sūjhtā to hai lekin bahut kam

    hāthoñ meñ kapkapī hai kabhī phūltā hai dam

    barham haiñ daañt kahte haiñ Thahreñge ab na ham

    piirī ne aa ke luuT daulat shabāb

    hālat bigaḌ ga.ī dil-e-ḳhāna-ḳharāb

    piirī hai aadmī ke liye ik vabāl-e-jāñ

    aamad hai us maut aamad ik nishāñ

    jab tan mamlikat pe ye hotī hai hukmrāñ

    tāqat javāb detī hai muñh dhotā hai dhuāñ

    hosh-o-havās-o-aql-o-ḳhirad josh-o-valvale

    sab kahte haiñ pukār ke lo ab to ham chale

    jhuk jaatā hai vo tiir qad ho ke phir kamāñ

    ya.anī ki zindagī hai baar us pe ab girāñ

    chalne meñ bolte haiñ jo pairoñ ke ustuḳhvāñ

    kahte haiñ apnī zo.af-o-naqāhat dāstāñ

    hai lutf-o-aish ziist ki jab tak shabāb hai

    phir is ke baad ziist samajh lo azaab hai

    sab baal pak gae hain kamar ho gai hai KHam

    aankhon se sujhta to hai lekin bahut hi kam

    hathon mein kapkapi hai kabhi phulta hai dam

    barham hain dant kahte hain Thahrenge ab na hum

    piri ne aa ke luT li daulat shabab ki

    haalat bigaD gai dil-e-KHana-KHarab ki

    piri hai aadmi ke liye ek wabaal-e-jaan

    aamad hai us ki maut ki aamad ka ek nishan

    jab tan ki mamlikat pe ye hoti hai hukmran

    taqat jawab deti hai munh dhota hai dhuan

    hosh-o-hawas-o-aql-o-KHirad josh-o-walwale

    sab kahte hain pukar ke lo ab to hum chale

    jhuk jata hai wo tir sa qad ho ke phir kaman

    yani ki zindagi ka hai bar us pe ab giran

    chalne mein bolte hain jo pairon ke ustuKHwan

    kahte hain apni zoaf-o-naqahat ki dastan

    hai lutf-o-aish zist ki jab tak shabab hai

    phir is ke baad zist samajh lo azab hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now