pital ka sanp
aur pītal kā ye zahrīlā saañp
jis kī nāzuk sī zabāñ par ye ḳhunuk sham.a kī lau
lahr kī tarah añdhere meñ uThā kartī hai
mere ik dost ne tohfe meñ mujhe bhejā hai
haiñ ye tagore ke be-rabt taḳhayyul ke nuqūsh
aur ye chiin ke naġhmāt kā majmūa hai
mez ke goshe pe rakkhā huā gautam kā ye but
tum ko achchhā na lagegā shāyad
muddateñ guzrīñ usī kamre meñ jis meñ ham tum
guftugū karte the
is jañg par
is duniyā par
aur maujūda adab par ye ḳhayālāt kī rau
art aur jañg
january kī ye hasīñ raat aur is par ai dost
ye masahrī jo paḌī hai merī
jis ke baazū pe ye pītal ke hasīñ saañp kā aks
aaj kī raat bhī lahrātā hai
tum koī pariyoñ kā qissa to na samjhoge ise
maiñ agar tum se kahūñ
ye ki pītal ke usī saañp ne kaaTā hai use
ek ma.asūm sī doshīza ko
january kī ye hasīñ raat aur is par ai dast
mere ārāsta kamre kā nikhār
ek pukār
sard aur maut kī mānind añdherī ik raat
būñdeñ jaaḌe kī
ġharībī ke musalsal aañsū
ek aurat kī jabīñ par taare
sard tārīk sitāre ya.anī
ek doshīza ke ruḳhsār pe bosoñ ke nishāñ
nuqra.ī bose
tilā.ī bose
ab bhī har raat usī kamre meñ
usī shīshe kī masahrī pe kitābeñ le kar
''chīn kī nazmoñ kā majmūa
nuqūsh-e-tagore
aur kabhī saade se kāġhaz pe ḳhud apne hī ḳhayāloñ ke liye
ek sakūñ
ek gunāhoñ ke liye
ek qarār''
kuchh isī qism ke afkār meñ bas Duubā huā
so hī jaatā huuñ bahar-hāl ai dost
mez par rakkhe hue but ke hasīñ saa.e meñ
aur pītal kā ye zahrīlā saañp
sham.a ko Das ke savere hī se chalā jaatā hai
''jañg maut aur gunāh!!''
aur pital ka ye zahrila sanp
jis ki nazuk si zaban par ye KHunuk shama ki lau
lahr ki tarah andhere mein uTha karti hai
mere ek dost ne tohfe mein mujhe bheja hai
hain ye tagore ke be-rabt taKHayyul ke nuqush
aur ye chin ke naghmat ka majmua hai
mez ke goshe pe rakkha hua gautam ka ye but
tum ko achchha na lagega shayad
muddaten guzrin usi kamre mein jis mein hum tum
guftugu karte the
is jang par
is duniya par
aur maujuda adab par ye KHayalat ki rau
art aur jang
january ki ye hasin raat aur is par ai dost
ye masahri jo paDi hai meri
jis ke bazu pe ye pital ke hasin sanp ka aks
aaj ki raat bhi lahraata hai
tum koi pariyon ka qissa to na samjhoge ise
main agar tum se kahun
ye ki pital ke usi sanp ne kaTa hai use
ek masum si doshiza ko
january ki ye hasin raat aur is par ai dast
mere aarasta kamre ka nikhaar
ek pukar
sard aur maut ki manind andheri ek raat
bunden jaDe ki
gharibi ke musalsal aansu
ek aurat ki jabin par tare
sard tarik sitare yani
ek doshiza ke ruKHsar pe boson ke nishan
nuqrai bose
tilai bose
ab bhi har raat usi kamre mein
usi shishe ki masahri pe kitaben le kar
chin ki nazmon ka majmua
nuqush-e-tagore
aur kabhi sade se kaghaz pe KHud apne hi KHayalon ke liye
ek sakun
ek gunahon ke liye
ek qarar
kuchh isi qism ke afkar mein bas Duba hua
so hi jata hun bahar-haal ai dost
mez par rakkhe hue but ke hasin sae mein
aur pital ka ye zahrila sanp
shama ko Das ke sawere hi se chala jata hai
jang maut aur gunah!!
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 307)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.