kisan
be-āb-o-giyāh bāñjh dhartī
mujh se ye savāl kar rahī hai
ai ḳhāliq-e-naġhma-e-bahārāñ
sadiyoñ huuñ maiñ ḳhizāñ-rasīda
maflūj haiñ kab se mere a.azā
tum merā ilaaj haiñ kab se mere a.azā
tum merā ilaaj kar sakoge
maiñ chup huuñ ḳhamosh huuñ kahūñ kyā
shā.ir huuñ maiñ lafzoñ kā masīhā
ai kaash maiñ ik kisān hotā
is dhartī ke munjamid lahū ko
be-hoshī kī niiñd se jagātā
mehnat se na.e chaman khilātā
miTTī ko na.ī dulhan banātā
be-ab-o-giyah banjh dharti
mujh se ye sawal kar rahi hai
ai KHaliq-e-naghma-e-bahaaran
sadiyon hun main KHizan-rasida
mafluj hain kab se mere aaza
tum mera ilaj hain kab se mere aaza
tum mera ilaj kar sakoge
main chup hun KHamosh hun kahun kya
shair hun main lafzon ka masiha
ai kash main ek kisan hota
is dharti ke munjamid lahu ko
be-hoshi ki nind se jagata
mehnat se nae chaman khilata
miTTi ko nai dulhan banata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.