ka.ī rāteñ vahāñ bedrōm meñ baiThī huī haiñ
na sotī haiñ na kuchh kahtī haiñ baiThī ghūrtī haiñ
kabhī dīvār par chipkī akelī chhipkalī ko
kabhī pankhe ke uupar jaal buntī makḌiyoñ ko
kitābeñ farsh par murda paḌī haiñ aur un ke paas
ka.ī misre ka.ī kirdār baiThe ro rahe haiñ
haiñ kuchh bechainiyāñ jo balcony meñ hī khaḌī haiñ
ajab sī ik rhythm meñ saañs bhartī chhoḌtī sī
ka.ī ḳhud-kush ḳhayāloñ ne vahīñ Derā kiyā hai
magar ik aas un ko kūdne se roktī hai
kitchen ke sink meñ baiThī hai ik baasī sī badbū
kisī ko bhī vahāñ aane se bharsak roktī hai
magar ik pyaas aa jaatī hai fridge tak reñgtī sī
jo Duubī ghūñT-bhar paanī meñ til til mar rahī hai
hai ik afsurdagī jo saare ghar meñ ghūmtī sī
kabhī bechainiyoñ se mil ke siina pīTtī hai
kabhī rotī hai yādoñ ke gale lag kar phaphak kar
kabhī dālān meñ jā kar vo cigarette phūñktī hai
maiñ puure ghar ko baiThā dekhtā huuñ ek kone se
gayā ik shaḳhs aur ghar meñ mere majma.a lagā hai
kai raaten wahan bedroom mein baiThi hui hain
na soti hain na kuchh kahti hain baiThi ghurti hain
kabhi diwar par chipki akeli chhipkali ko
kabhi pankhe ke upar jal bunti makDiyon ko
kitaben farsh par murda paDi hain aur un ke pas
kai misre kai kirdar baiThe ro rahe hain
hain kuchh bechainiyan jo balcony mein hi khaDi hain
ajab si ek rhythm mein sans bharti chhoDti si
kai KHud-kush KHayalon ne wahin Dera kiya hai
magar ek aas un ko kudne se rokti hai
kitchen ke sink mein baiThi hai ek basi si badbu
kisi ko bhi wahan aane se bharsak rokti hai
magar ek pyas aa jati hai fridge tak rengti si
jo Dubi ghunT-bhar pani mein til til mar rahi hai
hai ek afsurdagi jo sare ghar mein ghumti si
kabhi bechainiyon se mil ke sina piTti hai
kabhi roti hai yaadon ke gale lag kar phaphak kar
kabhi dalan mein ja kar wo cigarette phunkti hai
main pure ghar ko baiTha dekhta hun ek kone se
gaya ek shaKHs aur ghar mein mere majma laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.