prometheus
zamīn kā ḳhūb-sūrat suDaul jism
zaḳhmoñ se chuur
dard se karāh rahā hai
zamīnī ḳhudāoñ kī sang-dilī dekh kar āsmānoñ par maujūd devtā bhī shashdar haiñ
ki unhoñ ne rāz-e-hayāt chhupāyā thā
maut ke saudāgar nahīñ bane the
lāshoñ ke Dher par apne ḳhvāboñ ke shīsh-mahal nahīñ tā'mīr kiye the
zeus ne to sirf aag chhupā.ī thī
lekin
mohazzab duniyā ke zamīnī aaqā
unhoñ ne zamīn ko maut ke capsule meñ tabdīl kar diyā
hamārī jannat meñ
duudh aur shahd nahīñ
lāshoñ kī nadiyāñ bahtī haiñ
yahāñ zindagī nahīñ maut ko davām hai
yahāñ yazdāñ nahīñ ahraman kā raaj hai
prometheus
kyā isī din ke liye tum ne aag churā.ī thī
aur rāz-e-hayāt faash karne kī sazā kaaTī thī
prometheus
zamīn ke phephḌe oxygen kashīd karte karte thak chuke haiñ
us kī nabz Dūbtī jā rahī hai
kurra-e-arz phir zamharīr banñe kī taraf gāmzan hai
kahīñ se thoḌī sī aag lā do
ek baar phir zeus ko maat de do
zamin ka KHub-surat suDaul jism
zaKHmon se chur
dard se karah raha hai
zamini KHudaon ki sang-dili dekh kar aasmanon par maujud dewta bhi shashdar hain
ki unhon ne raaz-e-hayat chhupaya tha
maut ke saudagar nahin bane the
lashon ke Dher par apne KHwabon ke shish-mahal nahin ta'mir kiye the
zeus ne to sirf aag chhupai thi
lekin
mohazzab duniya ke zamini aaqa
unhon ne zamin ko maut ke capsule mein tabdil kar diya
hamari jannat mein
dudh aur shahd nahin
lashon ki nadiyan bahti hain
yahan zindagi nahin maut ko dawam hai
yahan yazdan nahin ahraman ka raj hai
prometheus
kya isi din ke liye tum ne aag churai thi
aur raaz-e-hayat fash karne ki saza kaTi thi
prometheus
zamin ke phephDe oxygen kashid karte karte thak chuke hain
us ki nabz Dubti ja rahi hai
kurra-e-arz phir zamharir banne ki taraf gamzan hai
kahin se thoDi si aag la do
ek bar phir zeus ko mat de do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.