purana makan
hai ik ḳhāsiyat vaqt kī ye lagegā Thahartā huā par Thahartā nahīñ hai
kisī ek jagah par
ki jaise Thahartā nahīñ aadmī bhī kahīñ par
makānoñ meñ shahroñ meñ gaañv meñ jismoñ meñ
bhāgā hī phirtā hai jaane kahāñ par
purānā makāñ dekhte dekhte khanDahar ho chalā hai
kabhī aisā lagtā ki hañsne lagā hai
ye bātoñ pe saarī
nikalte hue jo dilāse diye the
nahīñ duur jaane ke vā'de kiye the
purāne makāñ ke fasīloñ pe tirchhī darāreñ chaḌhīñ jā rahī hai
ke maano ye laḌne lagīñ hai ḳhudī meñ
'ajab hai ki laḌne ko is ghar meñ koī bachā hī nahīñ hai
magar shahr meñ bhī nahīñ hai
jo jaate hue kah chalā thā yahāñ ab hamārā guzārā nahīñ hai
hai ek KHasiyat waqt ki ye lagega Thaharta hua par Thaharta nahin hai
kisi ek jagah par
ki jaise Thaharta nahin aadmi bhi kahin par
makanon mein shahron mein ganw mein jismon mein
bhaga hi phirta hai jaane kahan par
purana makan dekhte dekhte khanDahar ho chala hai
kabhi aisa lagta ki hansne laga hai
ye baaton pe sari
nikalte hue jo dilase diye the
nahin dur jaane ke wa'de kiye the
purane makan ke fasilon pe tirchhi dararen chaDhin ja rahi hai
ke mano ye laDne lagin hai KHudi mein
'ajab hai ki laDne ko is ghar mein koi bacha hi nahin hai
magar shahr mein bhi nahin hai
jo jate hue kah chala tha yahan ab hamara guzara nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.