purane shahron ka safar
jab meñ apne bahut purāne shahroñ meñ jā.ūñgā
merī gaThrī meñ muTThī bhar miTTī
kuchh phal phūl, sitāre hoñge
kuchh galiyāñ, kuchh mūrtiyāñ
kuchh rañg ba-rañg aqīde
kuchh nazzāre hoñge
aur mire hamrāh, mire ahbāb
birhā ke maare hoñge
havā kahegī kyuuñ aa.e ho
ye sab chīzeñ kyuuñ laa.e ho
āsmān par uḌte hue anjān parinde
chhoTe chhoTe jhunḌoñ meñ dhartī par utarte
sab ko dikhā.ī deñge
aur purāne shahroñ vaale
apne gharoñ kī chhatoñ par chaḌh ke
barsoñ talak duhā.ī deñge
aur hamārī fat.h ke naare duur duur tak
chāroñ taraf sunā.ī deñge
jab mein apne bahut purane shahron mein jaunga
meri gaThri mein muTThi bhar miTTi
kuchh phal phul, sitare honge
kuchh galiyan, kuchh murtiyan
kuchh rang ba-rang aqide
kuchh nazzare honge
aur mere hamrah, mere ahbab
birha ke mare honge
hawa kahegi kyun aae ho
ye sab chizen kyun lae ho
aasman par uDte hue anjaan parinde
chhoTe chhoTe jhunDon mein dharti par utarte
sab ko dikhai denge
aur purane shahron wale
apne gharon ki chhaton par chaDh ke
barson talak duhai denge
aur hamari fath ke nare dur dur tak
chaaron taraf sunai denge
- Book : Chand Chiragh (Pg. 42)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.