purani filon mein gungunati sham
ab in bosīda kāġhaz ke pulandoñ kī
zarūrat kyā bachī hai
in lifāfoñ par pate saare
purāne ho chuke haiñ
in ko rakhnā kis liye
be-rañg tahrīroñ meñ Duube
in ḳhatoñ kī kyuuñ hifāzat chāhiye
ye purānī fileñ zaa.e agar ho jaa.eñ
to nuqsān kyā hai
haath kyuuñ rukte haiñ
in kāġhaz ke TukḌoñ ko jalāne meñ
ab in kī ma.anaviyat kyā bachī hai
itne maah o saal ke ba.ad
is zamāne meñ
mahak kaisī hai in meñ
yā jo ḳhushbū sī lapaktī hai
to kyā hai ye rutoñ kā ḳharḳhasha ab koī rut hogī ki jis ne
kāġhazoñ par chhoḌ rakkhā hai asar
barsoñ guzarte haiñ
nahīñ, kuchh bhī nahīñ yaad aatā hai
lekin ye mere haath in ko chhūte hī
kyuuñ kāñpne lagte haiñ
pahle bhī to bosīda bahut kāġhaz jalā.e haiñ
na jaane in purānī filoñ par
kaun se guzre hue
lamhoñ ke saa.e haiñ
ab in bosida kaghaz ke pulandon ki
zarurat kya bachi hai
in lifafon par pate sare
purane ho chuke hain
in ko rakhna kis liye
be-rang tahriron mein Dube
in KHaton ki kyun hifazat chahiye
ye purani filen zae agar ho jaen
to nuqsan kya hai
hath kyun rukte hain
in kaghaz ke TukDon ko jalane mein
ab in ki manawiyat kya bachi hai
itne mah o sal ke baad
is zamane mein
mahak kaisi hai in mein
ya jo KHushbu si lapakti hai
to kya hai ye ruton ka KHarKHasha ab koi rut hogi ki jis ne
kaghazon par chhoD rakkha hai asar
barson guzarte hain
nahin, kuchh bhi nahin yaad aata hai
lekin ye mere hath in ko chhute hi
kyun kanpne lagte hain
pahle bhi to bosida bahut kaghaz jalae hain
na jaane in purani filon par
kaun se guzre hue
lamhon ke sae hain
- Book : dasht ajab hairanii ka shayar (Pg. 77)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.