purani kahani paDh raha hun
sahar-dam
ke jab chaar pachchīs bajte haiñ
local guzartī hai
muddat huī
maiñ usī vaqt bedār hotā huuñ
yuuñ zindagī ke tasalsul kā hissa rahā huuñ
ka.ī saal pahle jo maiñ ne kahānī likhī thī
use aaj phir paḌh rahā huuñ
ghaḌī kī taraf bhī nigāheñ haiñ merī
udāsī meñ Duubā chalā huuñ
kahānī ke kirdār
yuuñ sāmne muskurāte khaḌe haiñ
ki jaise abhī
aaj isī ek lamhe meñ
taḳhlīq hāthoñ se mere huī in kī
maiñ dekhtā huuñ
ye zākir
ye salmā
ye salmā kī ammī
ye salmā kī chhoTī bahan
gorī jāpānī guḌiyā
sharārat se kurte pe mere
qalam kī siyāhī se tajrīdī painting meñ mashġhūl
hañstī chalī jā rahī hai
kahānī ke kirdār
lafzoñ kī chādar meñ lipTe hue so rahe haiñ
magar guftugū un kī
sab iḳhtirā.ī thī merī
sabhī bāteñ maiñ kar rahā thā
mujhe fikr hai merī local na chhūTe
zamāna huā
is kahānī meñ
maiñ bhī kahīñ huuñ
kahānī sunātā huuñ
kirdār ke muñh se maiñ boltā huuñ
achānak vo kirdār
maazī kī ḳhvābīda bojhal fazā se nikal kar
mire sāmne aa khaḌe hoñ
to mumkin hai
pahchān un kī mire vāste
ḳhuub taklīf-dah jāñ-gusil aur dushvār ho
maiñ udāsī meñ Duubā chalā huuñ
ka.ī saal pahle jo maiñ ne likhī thī
kahānī ise paḌh rahā huuñ
kahīñ pahlī local na chhūTe
kahānī na ban jā.ūñ maiñ bhī
kahīñ dūsrā mujh ko paḌhne na baiThe koī
sahar-dam
ke jab chaar pachchis bajte hain
local guzarti hai
muddat hui
main usi waqt bedar hota hun
yun zindagi ke tasalsul ka hissa raha hun
kai sal pahle jo main ne kahani likhi thi
use aaj phir paDh raha hun
ghaDi ki taraf bhi nigahen hain meri
udasi mein Duba chala hun
kahani ke kirdar
yun samne muskuraate khaDe hain
ki jaise abhi
aaj isi ek lamhe mein
taKHliq hathon se mere hui in ki
main dekhta hun
ye zakir
ye salma
ye salma ki ammi
ye salma ki chhoTi bahan
gori japani guDiya
shararat se kurte pe mere
qalam ki siyahi se tajridi painting mein mashghul
hansti chali ja rahi hai
kahani ke kirdar
lafzon ki chadar mein lipTe hue so rahe hain
magar guftugu un ki
sab iKHtirai thi meri
sabhi baaten main kar raha tha
mujhe fikr hai meri local na chhuTe
zamana hua
is kahani mein
main bhi kahin hun
kahani sunata hun
kirdar ke munh se main bolta hun
achanak wo kirdar
mazi ki KHwabida bojhal faza se nikal kar
mere samne aa khaDe hon
to mumkin hai
pahchan un ki mere waste
KHub taklif-dah jaan-gusil aur dushwar ho
main udasi mein Duba chala hun
kai sal pahle jo main ne likhi thi
kahani ise paDh raha hun
kahin pahli local na chhuTe
kahani na ban jaun main bhi
kahin dusra mujh ko paDhne na baiThe koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.