Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

puja ke phul

Kanhayya Lal Nandan

puja ke phul

Kanhayya Lal Nandan

MORE BYKanhayya Lal Nandan

    mujhe hosh sañbhālte samjhā diyā gayā thā

    ki mūrtī agar hotī hai

    to puujā lāzmī ho jaatī hai

    mūrtī binā puuje hue rah nahīñ paatī hai

    mūrtī honā

    parmān hai puujā

    barsoñ se apne gaañv ke shivāle meñ

    mahādev ko pujte hue dekhā

    bāp-dādā se milī sanātanī āsthā aañkh ne

    yahī pahchānā

    aur pūjnā un

    pūjnā apnā dharm maanā

    nahīñ jaanā ki

    puujā meñ parashn koī asthān nahīñ hotā

    lekin ek din jaane kyā huā

    mere andar ke aadmī

    koī aur pahlū jaag gayā

    sanātanī āsthā de ga.ī daġhā

    man uḌ kar jaane kahāñ bhaag gayā

    sochne lagā

    ki agar mere donoñ haath achānak kaT jaa.eñ

    to kyā hogā

    jāntā huuñ ki puujā bas puujā hotī hai

    khanDit vajūd ho

    puure

    ye nishche hogī qubūl

    lekin ise aap chāhe māneñ merī bhuul

    ye zarūr pūchh lenā chāhūñgā mūrtī se

    ki kyā mahsūs hotā hai dekh kar

    mere kaTe hue hāthoñ meñ puujā ke phuul

    mujhe hosh sanbhaalte hi samjha diya gaya tha

    ki murti agar hoti hai

    to puja lazmi ho jati hai

    murti bina puje hue rah hi nahin pati hai

    murti ka hona hi

    parman hai puja ka

    barson se apne ganw ke shiwale mein

    mahadew ko pujte hue dekha

    bap-dada se mili sanatani aastha ki aankh ne

    yahi pahchana

    aur pujna un ka

    pujna apna dharm mana

    nahin jaana ki

    puja mein parashn ka koi asthan nahin hota

    lekin ek din jaane kya hua

    mere andar ke aadmi ka

    koi aur pahlu jag gaya

    sanatani aastha de gai dagha

    man uD kar jaane kahan bhag gaya

    sochne laga

    ki agar mere donon hath achanak kaT jaen

    to kya hoga

    jaanta hun ki puja bas puja hoti hai

    khanDit wajud ki ho

    ya pure ki

    ye nishche hi hogi qubul

    lekin ise aap chahe manen meri bhul

    ye zarur puchh lena chahunga murti se

    ki kya mahsus hota hai dekh kar

    mere kaTe hue hathon mein puja ke phul

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now