pyar ka mazar
mohabbatoñ ke khel meñ
mohabbatoñ ke devtā
nai mujh se khel khel kar
harā diyā sañvār kar
mujhe nahīñ ḳhabar yahī
ki mere dil kī aah jo
mire hī dil ko aa lagī
to kyoñ lagī kahāñ lagī
mujhe mire vajūd se
jo ik zarā bhī pyaar ho
to phir usī vajūd meñ
use karūñ talāsh kyoñ
ye ashk haiñ mire agar
to mujh se phir daġhā kiye
isī sanam-kade se yuuñ
haiñ is tarah farār kyoñ
maiñ jāntī huuñ jo nahīñ
maiñ kis tarah karūñ bayān
maiñ kis tarah se duuñ sadā
ki dil mirā hai bik chukā
ye dil mirā hai bik chukā
sanam ke is bazār meñ
jahāñ se ab vo gum-shuda
hai pyaar ke mazār meñ
mohabbaton ke khel mein
mohabbaton ke dewta
nai mujh se khel khel kar
hara diya sanwar kar
mujhe nahin KHabar yahi
ki mere dil ki aah jo
mere hi dil ko aa lagi
to kyon lagi kahan lagi
mujhe mere wajud se
jo ek zara bhi pyar ho
to phir usi wajud mein
use karun talash kyon
ye ashk hain mere agar
to mujh se phir dagha kiye
isi sanam-kade se yun
hain is tarah farar kyon
main jaanti hun jo nahin
main kis tarah karun bayan
main kis tarah se dun sada
ki dil mera hai bik chuka
ye dil mera hai bik chuka
sanam ke is bazar mein
jahan se ab wo gum-shuda
hai pyar ke mazar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.