pyara watan
kahte haiñ jis ko bhārat-mātā mirā vatan hai
maiñ kyā batā.ūñ kaisā achchhā mirā vatan hai
saarā jahāñ dulhan hai gahnā mirā vatan hai
goyā bahisht kā ik TukḌā mirā vatan hai
maiñ huuñ vatan kā pyārā pyārā mirā vatan hai
hindostāñ ke bāġhoñ kī dil-kushā fazā.eñ
rāhat-bhare nazāre ḳhushbū bharī havā.eñ
ḳhush-rang panchhiyoñ kī man-mohnī sadā.eñ
sāvan kī kaalī kaalī vo jhūmtī ghaTā.eñ
maiñ huuñ vatan kā pyārā pyārā mirā vatan hai
gangā kī paak lahroñ kā ḳhushnumā nazāra
jamunā kā vo kināra vo dil-rubā nazāra
jis se ho ruuh taaza vo byaas kā nazāra
raavī meñ kashtiyoñ kā vo ghūmtā nazāra
maiñ huuñ vatan kā pyārā pyārā mirā vatan hai
apne vatan kā zarra-zarra hameñ hai pyārā
dil kā hai ye sahārā aur aañkh kā hai taarā
duniyā se hai nirālā bhārat kā har nazārā
baḌh kar bahisht se hai hindostān hamārā
maiñ huuñ vatan kā pyārā pyārā mirā vatan hai
kahte hain jis ko bhaarat-mata mera watan hai
main kya bataun kaisa achchha mera watan hai
sara jahan dulhan hai gahna mera watan hai
goya bahisht ka ek TukDa mera watan hai
main hun watan ka pyara pyara mera watan hai
hindostan ke baghon ki dil-kusha fazaen
rahat-bhare nazare KHushbu bhari hawaen
KHush-rang panchhiyon ki man-mohni sadaen
sawan ki kali kali wo jhumti ghaTaen
main hun watan ka pyara pyara mera watan hai
ganga ki pak lahron ka KHushnuma nazara
jamuna ka wo kinara wo dil-ruba nazara
jis se ho ruh taza wo byas ka nazara
rawi mein kashtiyon ka wo ghumta nazara
main hun watan ka pyara pyara mera watan hai
apne watan ka zarra-zarra hamein hai pyara
dil ka hai ye sahaara aur aankh ka hai tara
duniya se hai nirala bhaarat ka har nazara
baDh kar bahisht se hai hindostan hamara
main hun watan ka pyara pyara mera watan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.