pyas
jī meñ hai ki jal-thal barsūñ
par ye aañsū kis kis naam se ro.ūñgī
ik aañsū par naam hai us kā
jis ke haath savālī haiñ
ik aañsū hai us ke naam
jo sardī meñ kohar-zada un saḌkoñ par bhūkoñ martā hai
ye lambī kaalī caroñ meñ kaun sī duniyā baiThtī hai
kyā naam hai un kā kaun haiñ vo
kyā bechte haiñ
aur surḳh gulābī hoñToñ par ye giit haiñ kyoñ
par TaaT ke pīchhe hairāñ hairāñ zard se chehre
āñkhoñ meñ sapnoñ ke rauzan
sapne mīThī roTī ke
har raat ko chhup kar aate haiñ
aur din ko
ghar ghar ghī se lithḌe chīnī ke bartan ko dhone kī ḳhātir
kaun bhalā ab paanī garm kare
raakh ujḌe sapnoñ kī
aur namkīn garm paanī in āñkhoñ kā
begam sāhibā kī ghar kī
aur sāhab kī laaD bharī āñkheñ
logo
un se kab sindūr bharī māñgoñ aur chhan-chhan kartī rang-birañgī
chūḌiyoñ ko phir jī bhar ke dekhā hai kabhī
ye lo paanī baras rahā hai
paanī khārā mīThā aur kasīlā paanī
dhuāñ ban kar gale meñ aTak rahā hai
thoḌā khāñs hī lo
ye chāhat hī phandā ban kar aañsū ke raste se nikle
har aañsū kis kis naam ke
is ke us ke
apne tumhāre kal ke aaj ke yā phir aane vaalī kal ke
jo saaf saleT kī mānind gum-sum hai
aur maiñ saare samundar aañsū pī kar pyāsī hī rah jaatī huuñ
ji mein hai ki jal-thal barsun
par ye aansu kis kis nam se roungi
ek aansu par nam hai us ka
jis ke hath sawali hain
ek aansu hai us ke nam
jo sardi mein kohar-zada un saDkon par bhukon marta hai
ye lambi kali caron mein kaun si duniya baiThti hai
kya nam hai un ka kaun hain wo
kya bechte hain
aur surKH gulabi honTon par ye git hain kyon
par TaT ke pichhe hairan hairan zard se chehre
aankhon mein sapnon ke rauzan
sapne miThi roTi ke
har raat ko chhup kar aate hain
aur din ko
ghar ghar ghi se lithDe chini ke bartan ko dhone ki KHatir
kaun bhala ab pani garm kare
rakh ujDe sapnon ki
aur namkin garm pani in aankhon ka
begam sahiba ki ghar ki
aur sahab ki laD bhari aankhen
logo
un se kab sindur bhari mangon aur chhan-chhan karti rang-birangi
chuDiyon ko phir ji bhar ke dekha hai kabhi
ye lo pani baras raha hai
pani khaara miTha aur kasila pani
dhuan ban kar gale mein aTak raha hai
thoDa khans hi lo
ye chahat hi phanda ban kar aansu ke raste se nikle
har aansu kis kis nam ke
is ke us ke
apne tumhaare kal ke aaj ke ya phir aane wali kal ke
jo saf saleT ki manind gum-sum hai
aur main sare samundar aansu pi kar pyasi hi rah jati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.