pyas ki devi
ishāroñ kī raanī
sar apnā hilā kar
aur āñkhoñ ko maTkā ke botal dikhā kar
lubhātī hai sau tarah se baar baar
maiñ har baar kahtā huuñ mere liye to nahīñ ye
to ik jhaTke se cork uḌā kar adā se
vo botal se ik dā.era merī āñkhoñ ke aage banā kar
mujhe phir dikhātī hai
magar maiñ use be-ta.assur nigāhoñ se taktā huuñ
vo mashrūb shīshe meñ bhartī hai
aur āvāz us kī sunā kar
mujhe dekhtī hai kan-añkhiyoñ se goyā
us āvāz par us ke shīshe meñ Dhal jā.ūñgā
maiñ kahtā huuñ qulqul hai achchhī par aisā bhī kyā
to vo chauḌe aur gahre sāġhar meñ thoḌī girā kar
mire muñh ke nazdīk lā kar hilā kar suñghātī hai mashrūb
jo sāġhar kināroñ ko chhūtā huā sā
bhañvar raqs kartā huā jhūmtā hai
buḳhārāt uḌte rijhāte haiñ phir bhī
rijhāte kahāñ haiñ
kabhī rang ḳhush-rang mujh ko dikhātī hai
aur apne laboñ par
kabhī zā.iqoñ ke tasavvur meñ Duubī zabāñ phertī hai
magar but banā maiñ ye sab dekhtā huuñ
ye mashrūb maiñ piinā kyoñ chāhūñgā
maiñ kahtā huuñ kyoñ tum ko lagtā hai maiñ pī hī lūñgā
sañbhaltā huā dekh kar hañs ke kahtī hai chakh ke to dekho
ise chakkho yā tishnagī hī ko chakho
magar tishnagī hī to maiñ pī chukā huuñ
to phir ye bhalā kyoñ maiñ kahtā huuñ us se
to vo saada rangīn talḳh aur shīrīñ bhare ḳhālī sab
pyāle sharābeñ gilās aur sharbat
ka.ī botaleñ aur paanī vaġhaira sajā detī hai
maiñ kahtā huuñ samjho
maiñ phir aur phir aur phir us se kahtā huuñ samjho
ye samjho mujhe pyaas bilkul nahīñ hai
ishaaron ki rani
sar apna hila kar
aur aankhon ko maTka ke botal dikha kar
lubhati hai sau tarah se bar bar
main har bar kahta hun mere liye to nahin ye
to ek jhaTke se cork uDa kar ada se
wo botal se ek daera meri aankhon ke aage bana kar
mujhe phir dikhati hai
magar main use be-tassur nigahon se takta hun
wo mashrub shishe mein bharti hai
aur aawaz us ki suna kar
mujhe dekhti hai kan-ankhiyon se goya
us aawaz par us ke shishe mein Dhal jaunga
main kahta hun qulqul hai achchhi par aisa bhi kya
to wo chauDe aur gahre saghar mein thoDi gira kar
mere munh ke nazdik la kar hila kar sunghati hai mashrub
jo saghar kinaron ko chhuta hua sa
bhanwar raqs karta hua jhumta hai
buKHaraat uDte rijhate hain phir bhi
rijhate kahan hain
kabhi rang KHush-rang mujh ko dikhati hai
aur apne labon par
kabhi zaiqon ke tasawwur mein Dubi zaban pherti hai
magar but bana main ye sab dekhta hun
ye mashrub main pina kyon chahunga
main kahta hun kyon tum ko lagta hai main pi hi lunga
sanbhalta hua dekh kar hans ke kahti hai chakh ke to dekho
ise chakkho ya tishnagi hi ko chakho
magar tishnagi hi to main pi chuka hun
to phir ye bhala kyon main kahta hun us se
to wo sada rangin talKH aur shirin bhare KHali sab
pyale sharaben gilas aur sharbat
kai botalen aur pani waghaira saja deti hai
main kahta hun samjho
main phir aur phir aur phir us se kahta hun samjho
ye samjho mujhe pyas bilkul nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.