pyas
vo duur pyāsī zamīñ ko dekho
ki jis ke dāman kī vus.atoñ meñ
zarūrateñ le rahī haiñ añgḌā.iyāñ musalsal
ufuq ufuq par uñDeltī haiñ sarāb
kartī haiñ har jihat ko ġhubār
pahnā.iyāñ musalsal
vo duur pyāsī zamīñ ko dekho
jhulastī āñkhoñ se dekhtī hai
falak kī jānib
dahakte hoñToñ se chāhtī hai
sulagte lahje se kah rahī hai
koī to ho
jo mirī shikasta anā ke lāshe pe chaar aañsū bahātā jaa.e
ye pyaas merī
miTātā jaa.e
havā ke jhoñke abhī abhī ye payām laa.e
ki duur pyāsī zamīñ ke siine pe
daaġh ban kar baras chukī haiñ
do-chār būñdeñ
wo dur pyasi zamin ko dekho
ki jis ke daman ki wusaton mein
zaruraten le rahi hain angDaiyan musalsal
ufuq ufuq par unDelti hain sarab
karti hain har jihat ko ghubar
pahnaiyan musalsal
wo dur pyasi zamin ko dekho
jhulasti aankhon se dekhti hai
falak ki jaanib
dahakte honTon se chahti hai
sulagte lahje se kah rahi hai
koi to ho
jo meri shikasta ana ke lashe pe chaar aansu bahata jae
ye pyas meri
miTata jae
hawa ke jhonke abhi abhi ye payam lae
ki dur pyasi zamin ke sine pe
dagh ban kar baras chuki hain
do-chaar bunden
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.