pyasa kawwa
ik kavvā thā behad pyāsā
paanī ko vo DhūñD rahā thā
chāroñ or nazar jo Daalī
dhuup thī aur jangal thā ḳhālī
uḌ kar nīche uupar dekhā
phir jā ūñchī shāḳh pe baiThā
chāroñ or nazar dauḌā.ī
duur ik maTkā diyā dikhā.ī
ḳhushī ḳhushī us or ko bhāgā
uḌ kar us jā vo jā pahuñchā
maTke ke andar jab jhāñkā
tah meñ thoḌā paanī dekhā
choñch na us kī us jā pahuñchī
vyākul ho phir baat ye sochī
matlab to thā paanī paanā
kavvā bhī thā baḌā syānā
saath paḌe kankar jo dekhe
sochā paanī meñ ye pheñke
choñch se ik ik kankar pakḌā
maTke meñ phir us ko Daalā
dhīre dhīre paanī ubhrā
maTke kī gardan tak pahuñchā
kavve ne phir choñch baḌhā.ī
aur paanī se pyaas bujhā.ī
pyāre pyāre achchhe bachcho
kavve kī tum baat ko socho
mehnat se tum jī na churāo
mehnat karke tum phal paao
jis ne DhūñDā us ne paayā
jis ne boyā us ne khāyā
aisā kisī kā sachchā bayāñ hai
chaah jahāñ hai raah vahāñ hai
ek kawwa tha behad pyasa
pani ko wo DhunD raha tha
chaaron or nazar jo Dali
dhup thi aur jangal tha KHali
uD kar niche upar dekha
phir ja unchi shaKH pe baiTha
chaaron or nazar dauDai
dur ek maTka diya dikhai
KHushi KHushi us or ko bhaga
uD kar us ja wo ja pahuncha
maTke ke andar jab jhanka
tah mein thoDa pani dekha
chonch na us ki us ja pahunchi
wyakul ho phir baat ye sochi
matlab to tha pani pana
kawwa bhi tha baDa syana
sath paDe kankar jo dekhe
socha pani mein ye phenke
chonch se ek ek kankar pakDa
maTke mein phir us ko Dala
dhire dhire pani ubhra
maTke ki gardan tak pahuncha
kawwe ne phir chonch baDhai
aur pani se pyas bujhai
pyare pyare achchhe bachcho
kawwe ki tum baat ko socho
mehnat se tum ji na churao
mehnat karke tum phal pao
jis ne DhunDa us ne paya
jis ne boya us ne khaya
aisa kisi ka sachcha bayan hai
chah jahan hai rah wahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.