pyasi ruh
pyāsī ruuh ko bolte kis ne sunā hai
television ke parde par jo tasvīreñ sunte ho
vo bhī nazar kā dhokā hai
maiñ to apnī band āñkhoñ ke andar puurā T v station chalte phirte
dekhtī huuñ
phir dekhnā aur kuchh kahnā donoñ bāteñ ek nahīñ haiñ
vaise bhī to ham ko dekhne vaale
apne apne lens se dekh ke
apne ta.iiñ hamāre baare meñ raa.e likh liyā karte haiñ
ham kyā haiñ kyā yahī batlāne logoñ ko ham is duniyā meñ aa.e haiñ
par pyāsī ruuh ko bolte kis ne sunā hai
kis ne dekhā hai
kis ne ghup añdhere kī ḳhushbū ko chakhā hai
pyasi ruh ko bolte kis ne suna hai
telewision ke parde par jo taswiren sunte ho
wo bhi nazar ka dhoka hai
main to apni band aankhon ke andar pura T w station chalte phirte
dekhti hun
phir dekhna aur kuchh kahna donon baaten ek nahin hain
waise bhi to hum ko dekhne wale
apne apne lens se dekh ke
apne tain hamare bare mein rae likh liya karte hain
hum kya hain kya yahi batlane logon ko hum is duniya mein aae hain
par pyasi ruh ko bolte kis ne suna hai
kis ne dekha hai
kis ne ghup andhere ki KHushbu ko chakha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.