qabil ka saya
ḳhudā ke ḳhauf se apne gunāhoñ par ḳhajil ho kar
vo paiham girya kartā thā
vo apne bhaa.ī ke lāshe pe paiham girya kartā thā
lahū āvāz detā thā zamīñ kī ḳhaak rusvā se
ḳhudā kā arsh kaañp uThtā thā is fariyād ko san kar
barādar-kush sazā paate the patthar ban ke jiite the
aur un ke dil kī dhaḌkan band ho jaatī thī sīnoñ meñ
aur un kā ḳhuun in kī sard sharyānoñ pe hañstā thā
magar is daur meñ koī ḳhudā aisā nahīñ kartā
ki ab shahroñ kī hālat agle sahrāoñ se behtar hai
ki ab shahroñ meñ maar o azhdar o kargas nahīñ milte
kutub-ḳhānoñ meñ afkār-o-aqā.ed jalva-farmā haiñ
hazāroñ dars-gāheñ dā.ī-e-aqdār-e-insāñ haiñ
siyah saḌkoñ pe kāreñ haiñ fazāoñ meñ haiñ tayyāre
imārāt-e-buland apne falak-paimā darīchoñ se
makoḌoñ kī tarah chalte hue jismoñ ko taktī haiñ
hamāre shahr māman haiñ hamāre shahr gulshan haiñ
ab in shahroñ meñ farsūda ḳhudā kī kyā zarūrat hai
ḳhudā ḳhāmosh hai aur ḳhauf-o-ġham se nīm-jāñ insāñ
havā kī lahr ko bhī maut kī aahaT samajhte haiñ
kisī ko kuchh nazar aatā nahīñ lekin koī jazba
ye chupke chupke kahtā hai ki ai hābīl ai hābīl
halākat ke na.e sāmān se ārāsta ho kar
galī-kūchoñ meñ aa pahuñchā hai phir qābīl kā saaya
KHuda ke KHauf se apne gunahon par KHajil ho kar
wo paiham girya karta tha
wo apne bhai ke lashe pe paiham girya karta tha
lahu aawaz deta tha zamin ki KHak ruswa se
KHuda ka arsh kanp uThta tha is fariyaad ko san kar
baradar-kush saza pate the patthar ban ke jite the
aur un ke dil ki dhaDkan band ho jati thi sinon mein
aur un ka KHun in ki sard sharyanon pe hansta tha
magar is daur mein koi KHuda aisa nahin karta
ki ab shahron ki haalat agle sahraon se behtar hai
ki ab shahron mein mar o azhdar o kargas nahin milte
kutub-KHanon mein afkar-o-aqaed jalwa-farma hain
hazaron dars-gahen dai-e-aqdar-e-insan hain
siyah saDkon pe karen hain fazaon mein hain tayyare
imaraat-e-buland apne falak-paima darichon se
makoDon ki tarah chalte hue jismon ko takti hain
hamare shahr maman hain hamare shahr gulshan hain
ab in shahron mein farsuda KHuda ki kya zarurat hai
KHuda KHamosh hai aur KHauf-o-gham se nim-jaan insan
hawa ki lahr ko bhi maut ki aahaT samajhte hain
kisi ko kuchh nazar aata nahin lekin koi jazba
ye chupke chupke kahta hai ki ai habil ai habil
halakat ke nae saman se aarasta ho kar
gali-kuchon mein aa pahuncha hai phir qabil ka saya
- Book : namuud (Pg. 52)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.