qaidi alfaz
dekh ai mire ham-zād
dekh apne bhītar meñ
tere ek zindāñ meñ
kitne hī ye qaidī haiñ
be-shumār lafzoñ ke
zaat meñ jo gūñge the
aah bharī kuchh bātoñ ke
zulm kī taptī chhāyā meñ
laboñ pe aate nāloñ ke
jo kirchī kirchī TuuT ga.e
vo shīshe sab armānoñ ke
vo jism pe tere bojh nahīñ
ye chhāle terī ruuh pe haiñ
maiñ Dartā huuñ
maiñ Dartā huuñ
jo chhāle yak dam phuuT ga.e
āzād hue jo hoñToñ se
dariyā kā ruḳh ye moḌ na deñ
aur ek na.ī tahrīr se ye
unvān kahānī badal na deñ
dekh ai mere ham-zad
dekh apne bhitar mein
tere ek zindan mein
kitne hi ye qaidi hain
be-shumar lafzon ke
zat mein jo gunge the
aah bhari kuchh baaton ke
zulm ki tapti chhaya mein
labon pe aate nalon ke
jo kirchi kirchi TuT gae
wo shishe sab armanon ke
wo jism pe tere bojh nahin
ye chhaale teri ruh pe hain
main Darta hun
main Darta hun
jo chhaale yak dam phuT gae
aazad hue jo honTon se
dariya ka ruKH ye moD na den
aur ek nai tahrir se ye
unwan kahani badal na den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.